“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Thursday, 26 September 2013

Earth Quake

            

            Zalzala zameen ki harkat ko kehte hyn jis se zameen me janbish peda hoti hay. Ye harkat markaz se lehron ki soorat me mukhtalif muqamaat ko jati hay. Undroon e zameen jis muqam say zalzala shuru hota hay usy markaz " Focus" kha jata hay jo kay satah e zameen say kai meel door neechay ki janib hota hay. Markaz  kay ain uper satah e zameen par isi  muqam ko "Epicenter" kha jata hay. Isi jagah par zalzalay ka pehla jhatka mehsoos kia jata hay kyunke isi muqam say lehrayn peda hoti hyn or kafi taiz raftaari say aagay ki janib barhti hyn.Ye lehrayn agar shiddat ikhtyaar kar lyn to zameen ko teh o bala karnay me apna aham kirdar ada krti hyn. In lehron ki teen iqsaam hyn jinhyn "P Waves, S Waves or L Waves" ka naam diya gya hay.


            Ibtida me  zalzalay aany ki wajah Aatish Fishaan paharon ka phatna tasawwur kia jata tha lykin baad me pata chala kay iski or bhi bohat si wujuhaat hyn. Zameen ki baatni quwwat ya harkaat "Tectonic Movement" kay sabab zalzalay peda hoty hyn jis me zameen kay kuch hissay zameen me hi dhans jaty hyn to kuch zameen say uper ubhar aatay hyn. Zameen kay kuch hisson me darar par jaati hay to kuch me kham (crack) a jatay hyn. Ye tectonic movement zameen ki undrooni chattaano me hararat ki wajah say chemical reaction kay natijay me peda hoti hyn. Zalzalay Aatish Fishaan  paharon walay ilaaqon me kisi aatish fishaan pahar kay phatnay or us say Lava behnay or nikalnay kay doraan peda honay wali harkaat ki wajah say bhi ronma hotay hyn. Is tarah kay ilaaqon me zalzalay bakasrat aatay hyn.Mojuda daur me zalzalay ki ek or wajah atomic experiment bhi samjhay jatay hyn. Aj dunya kay tamam mumalik apnay mulk kay difa kay liye etmi tajurbaat kar rahe hyn lihaza in atmi tajurbat kay asraat zalzalon ki soorat me bhi ronma hotay hyn.

            24 September 2013 tuesday ko Pakistan me Sindh or Balochistan or India kay darulkhilafa Delhi me bhi zalzalay kay shadeed qism kay jhatkay mehsoos kiye gaye. Zalzalay nay Balochistan kay mukhtalif ilaqon me wasi pemanay par tabahi machai jis say insani zindagi bohat mutassir hoi. Zalzalay nay Balochistan kay 6 zilon ko ziyada mutassir kia jin me sub say ziyada mutassir honay wala zila "Awaran" hay. Zalzalay nay awaran kay gaao "Lwach" ko bhi mukammal tabah kar diya. Balochistan may aaj 355 afrad halak or 500 say ziyada zakhmi ho gaye hyn.

            Pakistan kay geological survey kay mutabiq is zalzalay ki shiddat recter scale par 7.7 thi or is ki gehrai zameen say 10 kilo metre ki thi. Zalzalay ka markaz balochistan kay junoobi ilaqay Makran division or Khazdar say 120 kilo metre kay fasley par junoob e mushriq me tha. Mahakma mosamiyat kay mutabiq halia zalzala Balochistan may pichlay saat saal kay doraan aanay wala shadeed tareen zalzala hay jo kay taqatwar darja bandi may aata hay. Zalzalay ki shiddat ka andaza is baat say bhi lagaya ja sakta hay kay zalzalay ki wajah say gwadar kay sahil kay qareeb ek jazeera namudar ho gaya hy jo kay 20 say 40 foot tak hay or iski chorai taqriban 100 foot tak hay.


            Zalzala ek qudrati aafat hay jis ki pyshan goi karna mushkil hay kay ye kab ronma hongay. Agarcha "Seismograph" kay zariye in kay aanay ka maloom bhi ho jaye to bohat jald hifazati iqdamaat karna na mumkin hay. Allah hum sub ko apnay hifzo amaan may rakhay. (Ameen)
 

No comments:

Post a Comment