“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Sunday, 22 September 2013

Mazhab tu ek nahi lykin Qoum ek hain



     Pakistan ek aisi mumlikat ki taber hai jahan har rang-o-nasal, har aqliat our har akseriat ka fard bager kisi tafrek k izzat our waqar sy zindagi basar krsaky. Ibteda may tu aisa hi tha k hazar mushkilat k bawajod Pakistan ka har fard ek qoum ki hasiat rakhta tha taham ab surat-e-haal qadry mukhtalif hai. 67 saal bad bhi Pakistan duniya k pay-darpay hamlon ka shekar hota raha hai lykin 9/11 k bad sy porany shekari mulk k andar bhi dakhel hogaye hain.

     Ye shekari ab mulk doshman anasir k sath mil kr Pakistan ki bunyadon ko khokla krny pr tolay hain. Kabhi lasani bunyadon pr tu kabhi firqay k naam pr mulk may intishar paida krny ki bharpor koshish ki jati hai. In khayalat k izhar ki ek aham wajah aaj Peshawar may hony waly do dhamaky hain. Din bhar may kai martaba yun laga jaisy kahen humary masehi bhai behan narazgi ka izhar mulk sy na karen, kahen wo khud ko akyla na samajhlen, kahen unhy apna aap aajnabi na lagny lagy. Aisa laga k in dhamakon ko mazhabi tassub ka rang diya jaraha hai, kuch aisy sawal uthy jinho ny in shakok ko takwiat deny ki koshish ki lykin main tamam Pakistanio sy ye kehna chahti hon k in baton ko apny demag may jagah na den kyon k aisa krny ki surat may hum dosmano k azaim ko kamyab bana dengy.


     In deshat gardon k liay koi mulk, koi qoum koi mazhab nahi hota our agar hota bhi hai tu shetan unka khuda dehshat unka mazhab our dehshat k zariay wo zameen k kisi bhi hissay ko apna mulk bana lety hain. Kiya bhool gaye jo 12 rabi-ul-awwal ko howa tha, kiya yaad nahi tumhay ashura ki larza khez raat ya pher faramosh kr diya hazara k shohda ko.Khudara aisy halat may sabar ka daman na chura jaye our ek dosry pr ungali uthany sy parhez kiya jaye.

     Shukar guzar hain hum tamam mazhabi rehnomaon k jo shaded gham may bhi sabar ki talkeen krty hain kyon k yehi waqt ka takazah hai our is hi may Pakistan ki baqa hai. In halat may bhi siyasat krny k liay humary siyasatdan kafi hain lykin hum tu ek qoum hain jo ek sath in tamam zulm-o-setam ka samna kr rahy hain our khuda ny chaha tu ek qoum ki tarhan hi rahen gay. Pakistan ko ek qoum ki zarorat hai, mehaz ek qoum hi tu chahye our bas.

     Allah humary masehi bhaion our behno ko sabar atta kary our ab tak k tamam shohda ka namul-badal 5 ya 2 lakh rupees nahi balky aenda anay wali naslon k liay ek pur aman mulk ki surat may ho. Ameen

1 comment: