“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Tuesday, 29 October 2013

Pakistani TV Morning Shows: What Culture Do They Represent?

Pakistan may jab bhi koi naya channel launch hota hai is per sab se pehle morning show dena ek culture ban chuka hai. Takreeben  Pakistan kay tamam private channels kay apne morning shows chal rhe hain. In morning shows may utho jago Pakistan, good morning Pakistan, jago Pakistan jago, subha saverey samaa kay sath, Maya Khan ka show wagera shamil hain. In channels kay morning shows may host ki dressing, set ki decoration or topics tk kay beech may muqabla chalta rehta hai. Aaj kal in shows may sab se zada nam Geo ki Shaista Wahidi, ARY ki Nida Yasir, HUM TV kay Fahad Mustafa or PTV ki Jugan Kazim ka nam shamil hai. Jugan Kazim PTV ki host hone ki waja se in kay shows krne ka tareqa private channels se mukhtalif hota hai. Lekin in private channels kay darmiyan topics mai buhat zada mumaslet paye jati hai. Ager aaj ek channel kisi mozu per bat karta hai to kal dusra channel bhi isi per apna show kerta hua paya jayega.

 Lekin ye morning shows Pakistani society ko kia dikhana chahtey hain? or kis terha ka culture hummay dikha rhe hain? in shows kay pas sirf chand ek aisey mozuat hain jis per ye bat krte hain. Jaise dressing, make up or health wagera ye phir bhi ghero may rehne wali khawateen kay kam arha hai hain. Wo gher may rehte huay  majuda fashion ki malumat hasil krleti hain. Lekin is kay sath hi kuch topics aisy hain jo uljhan or pareshani ka bayes hain jaise Jinnat ya Kala Jadu is may ye log BABA kisam kay log show per bithalete hain or ye bat buhat taklif de hai kay wahan us insan per itna tashadud kia jata hai. Jab kay show may majud host apni perfomance kay, drowni awazo or visual effects kay zariye is ko or masale dar bana dete hain. Jb kay wo log ek ache mahire nafsiyat se bhi thek hosktey hain. 

Is tarah kay case ye channels society kay samne la ker logo ko kaun si awareness de rhe hain. Or is may kuch aisy mozu bhi hain jo aap apni family kay sath beth ker nhe dekh skte jaise pregnancy kay dauran ki mushkilat, pregnancy kay bad ki ehtiyat, family planing, trans gender or aisi larkiya jo ziyadti ka nishana bani hon. Ye log aisey case apne set per le kar atey hain or in kay sath guftugu krte hain. Is tarah kay shows ker kay kaun si awareness ya information logo ko hasil hogi jo log apni family kay sath beth ker dekh he nhe skte is tarah kay mozuat se inhen ehtiyat krni chaihyen. Is kay elawa in shows may branded lawns ki buhat zada tasheer ki jati hai lekin kabhi bhi ye log factory workers ko kam ujrat milne ya kisi aisey he dusre masley khilaf bat nhe krte. Or in shows ki sab se ehem bat her haftey inka shadi week manana hai. Ye shows her haftey ya to kisi aam public may se ya phir showbiz kay shadi shuda jodey ki dubara shadi kerwadete hain is may host se le ker guest or extras tk bhari bhari jodey pehan ker uchal kud or dance kertey hain ye log is terha ki herkate ker kay humey kaun si tafreh faraham kerhe hain. 

Jab kay in channels ko chahenye  is waqt jab mulk itne  masayel may ghira hua hai. Apne masruf waqt may se chand minutes nikal ker sochen kay ye wo log hain jo society may change laskte hain kyun kay awam inhe pasand krti hai in kay shows dekhti hai is liye inhe chahiyen kay is tarah kay topic se het kar aisey shows karien jo logo ko entrtainment kay sath educate kare inform karey or in may zehni shaur paida ho. Na kay is terha kay shows dekh ker in kay wakt ka ziya ho.

Thursday, 24 October 2013

Pakistan Idol: A boon or a bane for a conventional Pakistani society?






We all know that music has such a potent effect on our moods. It provokes intense feelings, and has this direct line and connection to the human emotions. To many people in many cultures around the world, music is an integral part of their life.

A nation as talented as pakistan has a huge array of potential singers and tuneful misicians. There are a number of things a Pakistani can be proud of and music is surely one of them. To name a few, from the evergreen Nusrat Fateh Ali Khan to the 'queen of melody' Noor Jehan, from Abida Parveen, a rarity in the Sufi music to the beautiful Nazia Hasan, from the ear soothing Junaid Jamshed and Alamgir to the soulful Atif Aslam, Ali Azmat and Ali Haider, Pakistan has got it all. All of them are immensely talented, power-pack performers and gifted musicians/singers.

After mesmerizing millions of viewers across the globe for more than a decade, the highly rated reality show 'idol' now finally comes to Pakistan. The format of the show is based on the British series 'pop idol' and many countries like America, Australia and India have launched their own version of the show. The 'star' maker reality show is jointly produced by Geo Television and Freemantle Media. Pakistan idol promises a colossal platform for the Pakistani youth to showcase their extraordinary talents and singing skills. Another interesting thing about a reality show is the auditioning process of the potential contestants. The auditions were carried out in all the major cities of Pakistan including Islamabad, Lahore, Multan, Faisalabad, Sukkur, Hyderabad and in the last Karachi. Having all the necessary ingredients of a successful show, it is only going to be bigger and better in Pakistan.

However, on the other hand, the media in Pakistan should promote programs and events focusing on education, welfare and peace especially at a time when our country is in a state of tatters. To engage the youth of the country in economic, educational and socio-cultural activities is the need of the hour rather than alluring them with a singing contest. Apart from that, the Pakistan idol is in full swing with the Indian music. Most of the contestants at the auditions were seen singing and swaying on peppy Bollywood numbers. The show which is aiming to bring out the best of talents in Pakistan should focus more on endorsing the local music and representing the Pakistani culture through diverse entertainment mediums
 So, regardless of its setbacks, 2014 is undoubtedly going to be an interesting year for Pakistani music and we are surely in for a musical treat.


Tuesday, 1 October 2013

Justice for Pakistani innocent daughter Dr Aafia Siddique




 Mera aaj ka topic Dr Aafia Siddique per hai. Dr Aafia Siddique kay sath hone wale zulm per lakho logo ne articles or mazmun kay zariye ehtijaj kia hai inhe logo me se ek choti si koshish meri bhi hai. Dr Aafia Siddique Pakistan kay shehr Karachi me 2 march 1972 ko paida huin. Ye apne walid Mummad Siddique ki teesri aulad hain. Unhone ne England se doctory ki taleem hasil ki. Dr Aafia ne MIT se graduation kay bad wahin America se “Neuro and Education” mai masters or Ph.d kia. Dr Aafia ki jo thesis thi Us ka nam “Learning by Immitaion” tha. Or ye jo log kehte hain kay wo neuro surgeon thi, wo nuclear physics thi or wo nuclear hathyar banana ki mahir thi. Ye sab galat hai dr Aafia ka khawab Pakistan kay nizam-e-taleem kay bare me tha. Wo kehti thi kay Pakistan ki kharab halat ki waja yahan ka nizam-e-taleem ki kharabi hai. Jab tak yahan behter nizam-e-taleem nhe ayega us wakt tak humari halat nhe badle gi wo aisa nisab tayar krhe thi jo kam wakt mai logo kay zehan mai bhi ajaye or interesting bhi ho. Unhone ek 10 saal ka nisab banaya tha jis mai kahin bhi islamiat ka subject nhe tha jis pr unki behan ne kaha kay is mai islamiat ka subject nahe hai to aapne kaha kay “islam ek mukamil zabta hayat hai ye to her ek subject ka mehwer hai” jab unki behan ne wo nisab dekha to hairan reh gai kay Dr Aafia Siddique ne her subject mai quran or islam ko he dhala tha wo kehti thi kay “aaj ki ye jadeed tehkikat koi nai cheez nhe hai ye wahe cheezai hain jin ki jardey islam se milti hain”. Phir Dr Aafia ne Muhammad Amjad nam kay aadmi  se shadi ki un se inke 3 bache the. 1990 mai America kay shehr Texas mai apne bhai kay sath rehne lagi lekin jb 9/11 ka waqia samne aya to musalman hone ki waja se kai mushkilat ka samna krna para jis ki waja se ek din Aafia watan wapis agayen. Lekin mulk mai aane kay kuch din bad Dr Aafia Siddique ko 30 march 2003 ko un kay bacho kay sath jis mai un ka bara beta Ahmed 5 ½ saal, Maryam 3 ½ saal or Salman 6 mahene ka gaud mai tha inhe agwa krliya giya. Kuch arsey bad malum hua kay wo America ki qaid mai hain or qaidi no 650 ban gai hain .Us wakt se le kr ab tk wo American jail mai hain jahan un kay sath buhat tashadud hua or unhai ziyadti ka nishana banaya gia. Dr Aafia ko kayi bar America ki adalat mai pesh kia gia lekin koi hatmi faisla nhe kia gia. 23 September 2010 ko inhai ek bar phir adalat mai pesh kia gia. Jis per adalat ne inko 86 saal ki saza sunai. Jis mai in per American foujio ko qatal karne or 7 ilzamo per ye saza sunai gai thi. Lekin Amreci hukumt jo insaf ka nara lagati hai kia us ka ye sahi faisla tha. Ek aurat jo 2003 se tumhari qaid mai hai jis kay sath tum ne itna tashadud or zulmositm kia kay wo apne pairon per khadi bhi nhe hoskti bat nhe krsakti usko tum ne 86 saal ki saza suna di. Kmra-e-adalat mai us wakt logo ne shame shame or Alla-hu-akber kay narey lagye. Us wakt Dr Aafia ne bade aetmad se faisla suna or kaha kay “is faisle kay khilaf appeal karna bekar hai. Mai apni appeal allah se krti hun”. Dr Aafia ki wuqla ne is bat ki koshish ki k inhe kam se kam saza ho lekin wo kamyab na hoskin. Is faisle per Pakistani awam ne buhat ehtijaj kia. Dr Aafia ki sister Dr Fouzia ne is saza ka zimedar Pakistani hukumt ko thairaya hai. jinhone is silsiley mai koi peshraft na ki jaisa kay humare politician Imran khan jo may mai hone wale election kay silsile mai America dollars jama krne gaye. Imran khan ek aisi siasi shaksiat hain. Jinhone buhat ziada Pakistan mai tabdeli ka nara lagaya or baqaul un kay wo Pakistan mai sonami le kr ayenge. Lekin khan sahab jab aap election ki muhim kay liye America kay jis shehr gaye wahn per ek masum or begunah aurat Dr Aafia bhi majud thi. Jo wahan per saalo se saza kat rhe hain ager aap America kay der se unhe qaid se rihai nhe dilwaskte to unse ek mulakat to krskte the lekin aap se itna na hua kay un se mulakat he krlete jab is per in se sawal kia giya to inhone ye keh kar jaan churai kay mai hukumt main nhe hun. Jab hukumt mai aunga to Aafia ko wapis launga aap bhi apni jaga thek hain. Lekin ab to Khan sahab aap hukumt mai agaye hain. Lekin ab bhi aap ne is silsile mai kisi trha ki peshrft na ki. Aap ne election kay bad itne muzahirey or dherney diye kay election mai dhandli hui hai aap ek aadh muzahirey or dherney apni qaum ki masum or begunah beti Dr Aafia kay liye bhi krlete. Aise he Dr Aafia ki rihai kay liye pichli hukmato ne koi peshraft na ki Pervaiz Musharaf sahab ne 11 saal hukumt ki lekin wo sirf America kay wafadar ban kay rhe Dr Aafia ki rihai kay liye kuch na kiya. Or isi trha 2008 mai jamhuri hukumt banana wale Zardari sahab ne bhi Aafia ki rihai kay liye koi kadam na uthaya. Lekin jab inhe kay dor-e-hukumt mai Malala Yousuf Zai  kay sir per goli lagi to is bat ko na sirf Pakistan balke benul-aqwami satah per buhat uchala gaya or Pakistan mai pehli bar Chief of Army Staff kisi civilian ki tabiyat puchne kay liyen khud gaye to chief sahab aap ki qaum ki ek or beti jo america ki jail mai hai use rihai nhe dilwaskte to us se ya us ki family se mil kar tasli he de dete. Electronic media bazid hai kay hum America or us kay ithadiyo kay kehne per Malala day manaye. Jab kay Pakistan ki awam kay pas yehi mauqa hai kay wo sabit krsake kay wo Amreci gulam nhe hai. Or Pakistani awam ka faisla hai kay wo 10 november ko Malala day  kay bajaye “youm-e-Dr Aafia manayenge. Humari majuda Nawaz hukmat ne Dr Aafia ki watan wapsi kay liyen qadam uthaya hai jis mai wafaqi wazir-e-dakhla Chaudry Nisar ki janib se ek task force banye gaye hai jis mai 14 sifarishat tayar ki gaye hain. Jise wizarte kharja or wafaqi wazir-e-dakhla ne is ki manzuri de di hai lekin in tayar krda sifarishat ko is had tak khufia rakha gia hai kay Dr Aafia ki family or media ko bhi is mai shamil nhe kia gaya. Zaraye kay mutabiq America Dr Aafia ko Pakisatn kay hawaley kerne per razi hai lekin is kay liye kuch sharayet lago ki gai hain. In sharayet ko khufia rakha gaya hai. jis ki waja se shakuk-o-shubhat janam le rhe hain. Zaraye kay mutabik Dr Aafia ki Pakistan muntaqli ka faisla Amreci qawanin kay mutabik hoga. Wafaqi wazir-e-dakhla kay ek zimmedar ne “Ummat” ko bataya kay Pakisatan or America kay darmiyan qaidiyo kay tubadle ka muhaida na hone ki waja se yourpi union kay hone walo muhaido ka faida uthane ki tajweez per gaur kia jarha hai or ye ek qabile amel hal hai. In zaraye kay mutabik wafaqi qabina se manzuri kay bad tajaweez per mabni khat Amreci hukumt ko bheja jayega. Jis kay bad Wazir-e-Azam Muhammad Nawaz Sharif munaasib waqt per Amreci sadar bark Obama ko is silsiley mai telephone karien ge. Majuda hukumat ki is case mai gehri dilchaspi or Dr Aafia Siddique ki rihai kay liyen ki jane wali koshisho kay bad Dr Aafia Siddique rihai qametti ko bhi umeed hai kay is silsiley mai jald misbet peshraft hogi. Gumshuda afrad ki bazyabi kay liye kayi barso se kam krna wali Amna Masood Janjua ne “Ummat" se bat krte huaye kaha hai kay humare liye lamha fiker ye hai kay Dr Aafia ki rihai kin sharayet per hogi. Hukumet ko chaiye kay wo Dr Aafia ki family ko aetmad mai le or unhe sharayet bataye or hukumat aise koi sharayet qubool na kare jis ki waja se Pakistan kay waqar or Dr Aafia ki naik nami per koi hurf aye. Or inki rihai kay liyen  jo ye qadam uthaya hai is kay liyen Allah se dua or Nawaz hukumet se umeed hai kay wo Dr Aafia ki wapsi ko yakeni banayenge (Inshallah).

"PAKISTAN MEHENGAI KAY JAAL MAIN"



Hukumat nay Awaam per ek bar phir bijili gira di,Bijili ki Fhi-unit Qeemat 8 rupay se barha kar 14 rupay kardi gaee, yah he nahi is k sath sath petroleum musnuaat main bhi izafa kar diya gaya hai.



Pakistan main barhti hoi mehengai ki sub se bari waja ,Hukmarano ki Naa-ehli hai or is k sath sath  petroleum musnuaat ki bharti hoi qeematay .Pakistan main jab bhi mehengai hoi hai is ki sub se bari waja petroleum musnuaat he hain ,hukumat bhi majbor hai kyun k un k pass bhi koi zaryah maash nahi hai .ya tu woh petrol per tax laga kar apnay ekhrajaat poray karna chahaty hain .ya phir yah hukumat bairooni imdad per inisaar karti hai. Awaam per aye din bijili petrol ki qeemto main izafay k bomb gira diye jaty hain ..
Maujudah hukumat nay sub se pehlay ektedaar main atay he . yah Elaan kiya tha kay,Hukumat Awaam ko 3 mahinay main relief farham karay gi,laikin sub se pehlay he hukumat nay petroleum ki qeemato main tax laga diya.Maujudah hukumat ko shayad is bat ka andaza nahi k .Agar ek ghareeb admi rozana transport main safar karta hai .tu is ko agar transport ka kiraya 10 ruppay dena hai.tu woh kiraya ko barhta dehk kar  pareshan hosakta hai .
Agar koi aadmi 10,000 rupay kamanay wala hai apni salary main se 3,000 ruppay transport kiraye ,or 3,000 bijili ,gas k bill main de de tu woh baki ekhrajaat 4,000 main kis tarha pora kar sakta hai.Jab kay transport mafia bhi bhatta khoroh se peechay nahi, agar petroluem ki qeemto main izafa hota hai tu,woh bhi Awaam per zada kiraya musalaat kar diye jaty hain.or Aagar petroleum musunaat ki qeemty kam bhi hojayen tab bhi kiraya kam nahi hota,90% Transport C.N.G,Per chal rahi hain .Is kay bawajud DIESEL kay jitna kiraya wasul kiya jata hai.
Ab is Awaam ko puchnay wala kon hai.or ghareeb Awaam jayen bhi tu kahan ,kyun k Government Minister In logon se bhatta wasul kar kay  khamosh tamashai ban jatay hain.yahan pata chalta hai kay Pakistan main har koi apni marzi ka Malik hai siwaye Awaam kay .or un main se ek transporters bhi hain un k liayay koi Qanoon nahi Hukumat bijili ,gas,petrol per taxes laga kar Alag hojati hai.Pistay or martay tu ghareeb badnaseeb Awaam he hain.Aur agar koi hukmuran chahay bhi sahi karna tu nahi karsakta,kyun kay transporters ka taluq aksar SIYASI jamaton se hai.Agar hukumat in kay khilaf action leti bhi hai tu Politican darana or dhamkana karna shuro kar dety hain.wasay tu sub politican Awaam ki bari bari khidmat k liy boltay hain ,laikin mehengai kay khilaf koi SIYASI party awaz buland nahi karti balkay ulta transporters,KESC.walo k sath mill kar Hukumat per dabao dal diya jata hai.takay Awaam ko bewaquf banaya or loota ja sakay .Magar Awaam sub samhjti hai,or agar koi mehengai kay khilaf awaz uthaye or Hukumat ya politican  ko kuch kehta hai tu badmashi se unko khamosh kara diya jata hai,Hukumat ko chayah kay mehengai kum karay or fori tor per petroleum musnuaat ,bijili,gas,kay bills per kaabu paya jaye.Petroleum masnoat or bills main izafa mulk kay andar be-rozgari barh rahi hai !,Awaam per bila fazul kiraye barhaye jarhay hain! ,Hukumat fori tor per awaam ko relief dey or kiye hoy waadon  per amal karay ,badmashon ,bhatta Mafia per qanooni karwaee ki jaye or unko girfitar kiya jaye .warna Awaam khud unse nimattna janti hain.Awaam kay sabar ka paimana labraiz honay se pehlay ,In sub ko qanooni girfit main le liya jaye.Aur tamam bill, petrol ki qeemtoon kay taxes wapes liye jayen. takay ghareeb Awaam do waqt ki roti aram or sukoon se kha sakay aur khush haal zindagi basar kar sakay....