“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Tuesday, 1 October 2013

"PAKISTAN MEHENGAI KAY JAAL MAIN"



Hukumat nay Awaam per ek bar phir bijili gira di,Bijili ki Fhi-unit Qeemat 8 rupay se barha kar 14 rupay kardi gaee, yah he nahi is k sath sath petroleum musnuaat main bhi izafa kar diya gaya hai.



Pakistan main barhti hoi mehengai ki sub se bari waja ,Hukmarano ki Naa-ehli hai or is k sath sath  petroleum musnuaat ki bharti hoi qeematay .Pakistan main jab bhi mehengai hoi hai is ki sub se bari waja petroleum musnuaat he hain ,hukumat bhi majbor hai kyun k un k pass bhi koi zaryah maash nahi hai .ya tu woh petrol per tax laga kar apnay ekhrajaat poray karna chahaty hain .ya phir yah hukumat bairooni imdad per inisaar karti hai. Awaam per aye din bijili petrol ki qeemto main izafay k bomb gira diye jaty hain ..
Maujudah hukumat nay sub se pehlay ektedaar main atay he . yah Elaan kiya tha kay,Hukumat Awaam ko 3 mahinay main relief farham karay gi,laikin sub se pehlay he hukumat nay petroleum ki qeemato main tax laga diya.Maujudah hukumat ko shayad is bat ka andaza nahi k .Agar ek ghareeb admi rozana transport main safar karta hai .tu is ko agar transport ka kiraya 10 ruppay dena hai.tu woh kiraya ko barhta dehk kar  pareshan hosakta hai .
Agar koi aadmi 10,000 rupay kamanay wala hai apni salary main se 3,000 ruppay transport kiraye ,or 3,000 bijili ,gas k bill main de de tu woh baki ekhrajaat 4,000 main kis tarha pora kar sakta hai.Jab kay transport mafia bhi bhatta khoroh se peechay nahi, agar petroluem ki qeemto main izafa hota hai tu,woh bhi Awaam per zada kiraya musalaat kar diye jaty hain.or Aagar petroleum musunaat ki qeemty kam bhi hojayen tab bhi kiraya kam nahi hota,90% Transport C.N.G,Per chal rahi hain .Is kay bawajud DIESEL kay jitna kiraya wasul kiya jata hai.
Ab is Awaam ko puchnay wala kon hai.or ghareeb Awaam jayen bhi tu kahan ,kyun k Government Minister In logon se bhatta wasul kar kay  khamosh tamashai ban jatay hain.yahan pata chalta hai kay Pakistan main har koi apni marzi ka Malik hai siwaye Awaam kay .or un main se ek transporters bhi hain un k liayay koi Qanoon nahi Hukumat bijili ,gas,petrol per taxes laga kar Alag hojati hai.Pistay or martay tu ghareeb badnaseeb Awaam he hain.Aur agar koi hukmuran chahay bhi sahi karna tu nahi karsakta,kyun kay transporters ka taluq aksar SIYASI jamaton se hai.Agar hukumat in kay khilaf action leti bhi hai tu Politican darana or dhamkana karna shuro kar dety hain.wasay tu sub politican Awaam ki bari bari khidmat k liy boltay hain ,laikin mehengai kay khilaf koi SIYASI party awaz buland nahi karti balkay ulta transporters,KESC.walo k sath mill kar Hukumat per dabao dal diya jata hai.takay Awaam ko bewaquf banaya or loota ja sakay .Magar Awaam sub samhjti hai,or agar koi mehengai kay khilaf awaz uthaye or Hukumat ya politican  ko kuch kehta hai tu badmashi se unko khamosh kara diya jata hai,Hukumat ko chayah kay mehengai kum karay or fori tor per petroleum musnuaat ,bijili,gas,kay bills per kaabu paya jaye.Petroleum masnoat or bills main izafa mulk kay andar be-rozgari barh rahi hai !,Awaam per bila fazul kiraye barhaye jarhay hain! ,Hukumat fori tor per awaam ko relief dey or kiye hoy waadon  per amal karay ,badmashon ,bhatta Mafia per qanooni karwaee ki jaye or unko girfitar kiya jaye .warna Awaam khud unse nimattna janti hain.Awaam kay sabar ka paimana labraiz honay se pehlay ,In sub ko qanooni girfit main le liya jaye.Aur tamam bill, petrol ki qeemtoon kay taxes wapes liye jayen. takay ghareeb Awaam do waqt ki roti aram or sukoon se kha sakay aur khush haal zindagi basar kar sakay....

3 comments: