Pakistani TV Morning Shows: What Culture Do They Represent?
Pakistan may jab bhi koi naya channel launch hota hai is per sab se pehle morning show dena ek culture ban chuka hai. Takreeben Pakistan kay tamam private channels kay apne morning shows chal rhe hain. In morning shows may utho jago Pakistan, good morning Pakistan, jago Pakistan jago, subha saverey samaa kay sath, Maya Khan ka show wagera shamil hain. In channels kay morning shows may host ki dressing, set ki decoration or topics tk kay beech may muqabla chalta rehta hai. Aaj kal in shows may sab se zada nam Geo ki Shaista Wahidi, ARY ki Nida Yasir, HUM TV kay Fahad Mustafa or PTV ki Jugan Kazim ka nam shamil hai. Jugan Kazim PTV ki host hone ki waja se in kay shows krne ka tareqa private channels se mukhtalif hota hai. Lekin in private channels kay darmiyan topics mai buhat zada mumaslet paye jati hai. Ager aaj ek channel kisi mozu per bat karta hai to kal dusra channel bhi isi per apna show kerta hua paya jayega.
Lekin ye morning shows Pakistani society ko kia dikhana chahtey hain? or kis terha ka culture hummay dikha rhe hain? in shows kay pas sirf chand ek aisey mozuat hain jis per ye bat krte hain. Jaise dressing, make up or health wagera ye phir bhi ghero may rehne wali khawateen kay kam arha hai hain. Wo gher may rehte huay majuda fashion ki malumat hasil krleti hain. Lekin is kay sath hi kuch topics aisy hain jo uljhan or pareshani ka bayes hain jaise Jinnat ya Kala Jadu is may ye log BABA kisam kay log show per bithalete hain or ye bat buhat taklif de hai kay wahan us insan per itna tashadud kia jata hai. Jab kay show may majud host apni perfomance kay, drowni awazo or visual effects kay zariye is ko or masale dar bana dete hain. Jb kay wo log ek ache mahire nafsiyat se bhi thek hosktey hain.
Is tarah kay case ye channels society kay samne la ker logo ko kaun si awareness de rhe hain. Or is may kuch aisy mozu bhi hain jo aap apni family kay sath beth ker nhe dekh skte jaise pregnancy kay dauran ki mushkilat, pregnancy kay bad ki ehtiyat, family planing, trans gender or aisi larkiya jo ziyadti ka nishana bani hon. Ye log aisey case apne set per le kar atey hain or in kay sath guftugu krte hain. Is tarah kay shows ker kay kaun si awareness ya information logo ko hasil hogi jo log apni family kay sath beth ker dekh he nhe skte is tarah kay mozuat se inhen ehtiyat krni chaihyen. Is kay elawa in shows may branded lawns ki buhat zada tasheer ki jati hai lekin kabhi bhi ye log factory workers ko kam ujrat milne ya kisi aisey he dusre masley khilaf bat nhe krte. Or in shows ki sab se ehem bat her haftey inka shadi week manana hai. Ye shows her haftey ya to kisi aam public may se ya phir showbiz kay shadi shuda jodey ki dubara shadi kerwadete hain is may host se le ker guest or extras tk bhari bhari jodey pehan ker uchal kud or dance kertey hain ye log is terha ki herkate ker kay humey kaun si tafreh faraham kerhe hain.
Jab kay in channels ko chahenye is waqt jab mulk itne masayel may ghira hua hai. Apne masruf waqt may se chand minutes nikal ker sochen kay ye wo log hain jo society may change laskte hain kyun kay awam inhe pasand krti hai in kay shows dekhti hai is liye inhe chahiyen kay is tarah kay topic se het kar aisey shows karien jo logo ko entrtainment kay sath educate kare inform karey or in may zehni shaur paida ho. Na kay is terha kay shows dekh ker in kay wakt ka ziya ho.
No comments:
Post a Comment