100 Days Performance Of Nawaz Sharif Government
11 may 2013 kay intikhabat kay bad mulk may nai hukumato kay qayam ki rah humwar hui. Jis may in intikhabat se pehle Nawaz Sharif ne apni election campaign kay zariye awam kay masayel ko khatam kerney or in ko khushal kerne kay badey wadey kiye jis may 3 maheeno kay ander lode shedding kay khatmay ka wada kia giya. Mehangaye ko kam kerne ka elan bhi hua. Corruption se pak society ki khushkhabri bhi de gaye. Beruni qarze na lene ka ehad hua. Mulk ki mayeshiat ko behal kerne ka mazda bhi sunaya giya. Berozgari kay khatmey ka elan kia giya.Or Zardari se awam ki luti hui dolat wapis nlikelwaney kay azam ka izhar bhi hua. Garz aisa kaun sa wada hoga jo Miya Sahab ne na kia ho. Humari qaum bhi Miya Sahab ki bato may agaye.Or Nawaz Sharif ne bhari mandate kay sath 5 saal kay liye mulk kay teesri bar wazir-e-azam baney.
Lekin phir sirf 2 se 3 mah kay ander he Miya Sahab ka asal chehra samnry agaya. Or inhone awam kay upper mehangaye or masayel kay bum giraney shuru kerdiye. Jis may Miya Sahab ne lode shedding ko khatam kerne ka wada to kia pura kertey inhone to 20 se 22 ghantey ki lode shedding shuru kerdi. Is kay sath he petrol, gas, diesel ki qeemton ko aasman tak pauhnchadiya, mehangaye ko kam kerne ka wada hawa hogaya. Or inhone ne apni hukumat kay 100 dino may he dollar 100 rupey se 106 per kerdiya. Aur chand hafto may he arbo dollar ka qarz le ker qaum ki qamar tode de. Garz inhone her jaga qaum ko mayus kia is kay sath he deshat gardi or takhrib qari kay waqiat may musalsal izafa hua hai. Ab tak ek andazey kay mutabiq 3500 afrad jaan se hath dho bethey hain. Security forces kay bhi 200 jawan deshat gardi ka nishana baney. Karachi may target killing, bhatta khori kay waqiat may taqreeben 1000 afrad janbahaq hogaye. KPK or Peshawer may masajid, imam bargha or church, per dhamakey kiye gaye. Dera Ismayel khan jail per hamla ker kay 200 se zayed qaidiyo ko churalia giya. Or subayi hukumaten is waqiya per kuch bhi na ker sakin.
Jab kay mulk ki tabah haal mayeshiat ko bihal kerne kay bajaye mayeshiat ko IMF kay 6 arab 5 dollar kay ewaz girwe rakh diya giya. IMF ki sharayet tasleem kar kay taxo, bijli, gas, petroleum masnuat or khurdni ashiyaun ki qeemton may musalsal izafa kia hai or ab tak kia jaraha hai. Bairozgari ko kam kerne kay bajaye in ki hukumat kay 100 dion may he bairozgari may 15 feesad izafa hua hay. Karachi kay halat per qabu pane kay liye hukumat ne koi bhi qadam nhe uthaya hai. Bori band or masakh shuda lashen milney ka silsila tahal jari hai. Punjabi, Sindhi, Mahajir or Baloch target killing ka shikar ho rahe hain. Or hukumat ne in waqiat per qabu pane kay bajaye mujrimo ko or khush kerdiya hai kay Asif Zardari ki riwayat per chalte huaye chahe 100 afrad kay qatal may malus target killer ho, Lahore may 5 saala bachi kay sath ziyadti kerne waley darindey hon ya masjido,dargaho or imam bargaho per bum se hamla kerne waley deshat gard hon in sab ko ye khush khabri de di gaye hai kay guzishta hukumat ki tarah majuda hukumat bhi kisi ko bhi maut ki saza nhe de gi. Wizart-e-dakhla kay tarjuman ne bade fakher kay sath bartanvi agency ko ye bataya kay Nawaz Sharif ki hukumat ne bhi yehi faisla kia hai. Wizart-edakhla kay tarjuman ne is faisley ki waja bayan kartey huay kaha kay is faisley ki bunyad pakistan kay bain-ul-aqwami duniya kay sath kiye gaye kuch muhayede hain. Or ye muhayede Europi union kay pakistan kay sath tijarat barhane kay mamley per hai. Jis kay liye bunyadi shart ye rakhi gaye hai kay maut ki saza ko roka jaye. Chahey wo kitna bada mujrim he kyun na ho.
Is kay sath he india line of control per hamla kerta raha bharti foujio ne humare mulk kay kayi foujio or civilian ko shaheed kerdiya. Lekin Miya Sahab ne is per koi action na liya. Naib jaisa idara or wizarte difa ka mansab khali para hai ab tak iska koi chairmain muqarar nhe hosaka hai. Nawaz Sharif ne apni 100 dino ki kukumat may ab tak koi wazeh taleemi policy ikhtiar karne may nakam rhe hain. Or ab tak higher education commission ka sarbirha bhi muqarar nhe kia jasaka hai. Miyan Nawaz Sharif ab tak gair mulki doron may masruf hain jis may wo ab tak tahal Fata or KPK ka dora nhe kia hai. Or apne gair mulki dorey may se Amreci dorey per majud Miya Nawaz Sharif ek bhi aisa mutalba jo pakistan kay haq may ho Amreca se manwaney may nakam rahe hain. Jis may sab se bada masla drone hamlo ka hai. Wazir-e-Azam Nawaz Sharif Amreca se ye mutalba na manwasake kay Pakistan may drone hamlo ko roka jaye. Amreci dorey kay bad se ab tak Amreca Pakistan may 2 drone hamley ker chuka hai jis per talbaan buhat mushtayel hain kyun kay talbaan ka kehna hai kay wo Pakistan ki hukumat kay sath muzakrat ki maiz per us waqt ayenge. Jab Amreca drone hamley karna band kare ga. Or Amreca kay is iqdam se pata chalta hai kay wo nhe chahta kay Pakistan kay talbaan kay sath kisi bhi qisam kay muzakrat hon.
Miya Nawaz Sharif ki hukumat ki in 3 maheeno ki karkerdagi dekhte huaye ye pata chalta hai kay ye mulki or bain-ul-aqwami mamlat ko hal karne may kitney sanjeeda hain. Or kis had tak inhone apne election campaign kay doran awam se kiye gaye wado ko pura kiya hai. Nawaz Sharif or inki hukumato kay saathiyo ko chahiyen kay wo awam per se qamar tode mehangaye ko khatam karien kay ye na ho kay pehley do dafa ki tarah inka paanch saala iqtidar beech rastey may he in se cheen liya jaye. aap kia kehte hain nawaz sharif hukumat ki 100 dino ki kar kerdagi kis had tak sahi hai faisla aap khud kerlen.
No comments:
Post a Comment