“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Monday, 18 November 2013

Aashiana


        Ghar har insan kay liay sab sy pur sukon jagah hoti hai jahan Allah Ta'lla kay aata kiay hoay rishtay aur unka dher sara pyar basa hota hai. Ek ghar sirf apno kay pyar sy hi mukammal hota hai aur ye humary masharti iqdar bhi hain. Pakistani mashray may joint family system ka rojhan ziyada paya jata hai lykin badalty waqt kay sath is riwayat may tabdeli ati jarahi hai.

        Pakistan aur India may ek hi ghar may bary bary khandan rehty hain jin may Dada, Dadi, Nana, Nani, Abba, Amma, Taya, Tai, Chacha, Chachi, Phuppo, Phuppa, Mama, Mami, Khala, Khalo, Beta, Bahu, Beti, Damad, Bhai, Bhabhi, Behan, Behnoi aur bhi bhuhat sy chacha, mamoo zat bhai behan bhi tu hoty hain. Jahan char bartan hongy wahan awaz tu hogi aisa hi hota hai jab ek ghar may itny sary log ek sath rehty hon, ek dosray ka pyar izzat ahtaram aur sath thuri thuri nok-jhok bhi.



        Joint family system kay bhuhat sy faiday hoty hain jis may bary buzorgon ka tajarbah sab sy aham hota hai aur apny tajarbay ki bonyad par hi ghar ka nizam chalaty hain, bachay abba amma aur chacha chachi wagera ki nigrani may rehty hain jis sy bachon kay begarny ka khatra bhuhat kam hojata hai sath sath bary bhai behno ki rehnomai bhi hasil rehti hain. Khushi kay lamho may tu sab ka sath hota hi hai lykin mushkil ki ghari may bhi sab ek dosray ka sath nibhaty hain jis sy mushkilat ka muqabla krna asan hojata hai.

        Ek sath rehna wakai ek behtren riwayat hai lykin sath rehny sy baz okat aapas ki choti choti talkhian bar jati hain aur sath rehna mushkil hojata hai. Kabhi kabhi baron ki bat bat pr rok-tok nagawar lagny lagti hai aur aisa aksar saas bahu kay bech hota hai, choti choti talkhian jhagron may badal jati hain, aay din kay jhagron sy ghar mehdan-e-jang lagny lagta hai aisy may larky kay liay sab sy ziyada doshwari hoti hai jab ussy maa ki farmabardari bhi krni hoti hai aur bewi kay hoqoq bhi poray krny partay hain. Har insan ka mizaj ek dosray sy mukhtalif hota hai, agar kisi ek ko kuch pasand hai tu dosray ko kuch aur aisy may sab ka kisi ek bat pr ittifaq krna mushkil hojata hai jis sy shekayat paida hony lagti hain. Bhai ko bhai sy shekayat hoti hai aur kabhi kabhi ye shekayat itni sangen hojati hain kay do bhai ek dosray ko bardasht krny kay bhi rawadar nahi hoty. EK khush-haal gharany ki bonyaden dam tornay lagti hain.



        Choty choty jhagron kay bawajod bhi sath raha jasakta hai lykin jab bat jaidadon ki taqseem ki ati hai tu sagay rishton ka khoon bhi safaid hojata hai aur wo apny jinky sath sari zingadi guzari hoti hai un hi sy nafrat hony lagti hai aisy may mazed halat ko kharab hony sy bachany kay liay log alheda rehaish ikhtiyar kr lety hain, aisa krny sy roz roz ki chik chik sy tu bacha jasakta hai lykin alag rehny sy bhi bhuhat sy masail hoty hain jaisy baron ki duain, unka pyar, unki shafqat kho dety hain, mushkil waqt may kisi ka sath nahi hota, apni zindagi kay tamam feslay khud hi leny partay hain kisi ki rehnomai hasil nahi hoti. Dada Dadi kay pyar sy mehrom bachay pher apny maa baap ki bhi izzat nahi krty kyon kay wo maa baap ka dada dadi kay sath rawaiya dekh rahy hoty hain.

        Bozorg ghar ki rehmat hoty hain tu kiya howa kay agar kabhi wo kuch keh den, unki rok-tok kabhi bilawajah nahi hoti aur unka maqsad apny pyaron ki bhalai hi hoti hai. Bhai behno kay bech kay jhargon ko hawa nahi dena chahye kyon kay ye wohi bhai behan hoty hain jin kay sath sara bachpan guzra hota hai. Saas bahuwo ko chahye kay thura dar-guzar sy kam len taky ghar ka sukon barqarar rahy kyon kay ourat hi ghar ko jannat banati hai aur ourat hi jahannom bhi. Ittihad may hi barkat hai, chand faidon kay liay rishton ko nahi chorna chahye kyon kay jin gharon may rishten bekhar jaty hain wahan sy Allah ki rehmat bhi uth jati hai.

Sunday, 17 November 2013

Increasing vulgarity In Pakistani Fashion



            Ye insaan ki fitrat hai ke wo waqt ke saath saath apni zindagi me tabdeeli lata rehta hai. Kabhi khayalaat me tabdeeli, kabhi rihaish me tabdeeli to kabhi libas me tabdeeli. Shayad isi liye kha gaya hai kay “Things don’t change, we change”. yani cheezyn nahi badalti hum unhyn badaltay hyn. Tabdeeli kay sath saath insan ki fitrat me ye bhi shamil hai kay wo har su har pal khoobsurat bannay ki jistuju me bhi laga rehta hai jis kay liye wo nat naye tareeqon se khud ko sajaanay aur sanwaarnay ki koshish me bhi laga rehta hai kuonke wo chahta hai ke wo purkashish shakhsiyat ka malik ban jaye aur sab me numaya hi nazar aaye. Aaj bhi insan isi udhair bun me laga hoa hai kay wo kis tarah ka fashion ikhtiyar karay kuonkyh waqt ki tabdeeli kay saath ab fashion me bhi tabdeeli aati ja rahi hai.

            Fashion ek "Art" hai jo moashray me ek naye rujhan ko farogh dynay me ehem kirdar ada karta hai. Ye na sirf hamari soch, tehzeeb o saqafat aur hamari moashrat ki akkasi bhi karta hai. Fashion ki badolat hamay pata chalta hai kay ab kia rujhan hai? kia aur kis tarah ka style chal raha hai? aur kia pehna ja raha hai. Fashion kay bagair hamari dunya be rang lagti hai lekin aaj kal to fashion ko fahashi ko farogh dynay ke liye istimal kia ja raha hai.

            Pakistan me fashion ka barhta hoa rujhan aj nayi nasal ko apni nayi manzil ki taraf gamzan kar raha hai lekin us kay saath saath unhyn behoodgi aur fahashi ki bhi targheeb dy raha hai. Pakistani models ke kapray din ba din mukhtasir say mukhtasir hotay ja rahay hyn. Models chust o tang kapray pehan kar apnay jism ki namood o numaaish karti nazar aati hyn jis me un kay jism kay khado khal numaya nazar aatay hyn.


 Is kay ilawa wo sleeveless aur backless shirts bhi pehni hoi nazar aati hyn jis me un kay chaak bhi kafi uper hotay hyn. Pakistani media par ab had say ziyada is tarah kay fashion shows ko dikhaya jata hai jis me hamari models fahash maghribi libas pehan kar catwalk karti dikhayi deti hyn. Hamaray channels is tarah kay behooda programs ko kuch ziyada hi dikha rahay jis say nayi nasal par bura asar par raha hai.


            Pakistan fashion industry is waqt apni kamyabi ki manazil te kar rahi hai lekin Pakistani fashion me fahashi din ba din barhti ja rahi hai jis kay manfi asrat hamaray moashray par rahay hyn. Larkay aur larkiyan sab hi be sochay samjhay naye fashion ko follow kar rahay hyn aur usay kafi acha samajh rahay hyn. Waldyn bhi is cheez ko ziyada promote kar rahay hyn. Hamari han khawateen har naye fashion ko ikhtiyar karnay ki koshish karti hyn. Wo ye nahi sochti kay wo kia pehyn rahi hyn? aur is say un ko kia hasil hoga? Hamray han kamsin bachiyon, tanha larkion aur talbaat kay saath ziyadti ki khabryn tasalsul kay saath aa rahi hyn.

            Pakistan me agar fashion ko Pakistani tehzeeb o tamaddun aur, saqafat aur Pakistani tarz kay libas ko farogh denay ke liye istimal karyn to is kay behtar nataij hasil ho saktay hyn lykin agar hum aisay hi maghribi tehzeeb aur libas ko farogh dytay rahay to apni tehzeeb o moashrat ko faramosh kar dyngay.

       

Pakistan Film Industry



            Pakistan film industry apnay qayam say le kar ab tak kai nasheeb o faraz say guzri hai. 1947 may film industry ka markaz sirf Lahore hi tha jahan sirf  2 hi film studios mojood thay lekin bad may Karachi aur Dhaka may san saath aur sattar ki dihai me film studios qaem kiye gaye. Pakistan film industry nay apna wo daur bhi dekha hai jo is ka sunehri daur kehlata tha jis me mayari aur kamyab filmyn banai jati thi. Log baray zauq o shoq say filmyn dyknay jaaya kartay thy. Us waqt Pakistan me kafi cinema houses bhi hotay thy lekin phir aisa daur bhi aaya kay jis me filmon ka mayar girnay kay sath sath in ki tadad me bhi kami waqy ho gai. Is kay bad filmi sanat ko zawal aana shru ho gaya. Aamrana daur me bhi filmi sanat ko bohat ziyada nuqsan pohancha aur phir munafa na kamnay ki wajah say cinema houses ki tadad bhi batadreej kam hoti chali gayi. Is kay baad cinema houses ki kamai sirf paros mulk ki filmon aur gair qanuni fahash filmon say honay lagi lekin ab Pakistan film industry apni khoi hoi saakh dobara bahal kar rahi hai kuonkyh ab Pakistan me bhi mayari filmyn banna shru ho gai hun aur unhyn kafi pasand bhi kiya ja raha hai. jis ki taza misal 16 October 2013 ko release ki janay wali film "Waar" hai jis nay apnay pehlay hi din 11.4 million ( US $ 110,000 ) kamaye hyn.



            Film "Waar" ka budget 200 million ( US $1.9 million) hai.Ye film angrezi zaban me banayi gai. Film kay numaya kirdar Shaan Shahid, Meesha Shafi, Ali Azmat, Shamoon Abbasi aur Ayesha Khan hyn. Film waar nay kafi zabardast business kia hai. Is film ki kamyabi say sabit hota hai kay hamary mulk me bhi talent ki kami nahi hai aur hamari filmyn bhi parosi mulk ki filmon say takkar le sakti hyn. Film "Me hoon Shahid Afridi" nay bhi kafi acha business kia hai. Is say qabl bhi " Khuda ke liye aur Bol jysi kamyab filmyn bhi banai ja chuki hyn. In filmon say say pata chalta hai kay film industry me ab kuch tabdeeli aa rahi hai aur hamari nayi nasal film production me acha kam kar rahi hai.

Thursday, 14 November 2013

Saat Samandar Paar


        "Illm hasil karo chahye is kay liay tumhy chine hi kyon na jana paray" ye bat hamesha sy hashol-e-illm kay liay kahi jati hai taham ab saat samandar paar mehas illm hasil krny kay liay nahi jaya jata balkay apny mayar-e-zindagi ko buland krny aur mashi halat sy majbor hokar bhi apny pyaro sy dor jana parta hai. Aisa ab kam hi dekhny may ata hai kay log dosray mumalik sirf ghomny pherny jain. Ab sirf ser-sapaty kay liay wohi omra bahar jaty hain jinky baiz dosray log apna mulk chor kr bahar nokri krny par majbor hoty hain.

        Aaj sy takreban 20 saal pehly 90's may bhuhat sy logo ny behtar rozgar kay hawaly sy America aur England ki taraf rukh kia, in may bhuhat sy nojawan taleem kay silsily may America aur Bartania gay halanky kay us waqt may visa mil jana ek mushkil amal hota tha jo kay aaj aur bhi ziyada mushkil amal hai.

        America ek bari super power hai jiski sab sy aham wajah mashi istehkam hai aur yehi wo wajah hai jisky baiz US dollar duniya ki mazbot-taren currency hai. Ibtida may America jany walon ki yakdum badal jany wali zindagi sy bhuhat sy log mutassir hoay aur sab may berony mulk rozgar ki khuwahish paida hony lagi. America ny bhi Pakistanio aur Indians ko kholay hathon sy kabol kia. Ahesta ahesta Pakistani aur Indians apni mehnat sy American maishat ka ek aham hissa ban gay.

        Taleem may bhi America apni mesal aap hai is liay nojawan behtar taleem kay liay America jana pasand krty hain. Students visa par America anay waly students ko taleem kay sath sath part time job krny ki bhi ejazat hoti hai is liay students parhai kay sath nokri bhi krny lagy aur Pakistan may mojod apny ghar walon ko paisy bhi bhejny lagy. Dollars may anay wali kamai ghar walon ko bhi bhali lagny lagi aur larkion kay liay anay waly America may moqeem larkon kay rishtay pur-kashish hogay.

        Dollars may Pakistan anay wali kamai ny Pakistan kay zar-e-mobadla may bhi tezi sy izafah kia jis sy Pak-America tallukat bhi mazbot hoay. Sab kuch behtar andaz may chal raha tha lykin kahen na kahen khamoshi sy koi sazish bhi ban rahi the aur bilakher is sazish ny aamli shakal ikhtiyar krli.
World Trade Center (WTC) 
        Boland-o-bala emarten America ki pehchan hain aur ye emarten America may basnay walon aur wahan anay walon kay liay tawajjah ka markaz bani rehti hain. World Trade Center(Twin Towers) duniya ki boland-taren emarten the jo 4th April 1973 may qaim hoi. World Trade Center saat complex par mushtamil emarten then jin may sy twin towers sab sy boland-taren then. September 9, 2001 ko America kay shehar New York may mojod World Trade Center ko jahaz kay zariay neshana banaya gaya jis may takreban 3 hazar afrad halak hoay. 9/11 ka ye saniha sirf America gham nahi tha balkay sari duniya kay liay ek seyah din tha.

Aasman sy baten krti hoi emarten do ghanty may zamee-bos hogain. Us din sirf World Trade Center khatam nahi howa balkay duniya ki maishat aur bhuhat sy masom logo ka mostaqbil bhi khatam hogaya. Ibtidai taftish kay motabiq tu Al-Qaeda ny is hamlay ki zimmadari kabol ki taham is hawaly sy motazad kahania mansob hain jab kay haqaiq aaj tak posheda hain.

        9/11 kay hamlay sy poray America may ghussy ki lehar dor gai aur musalmano ko is ka zimmadar aur America dushman samjha jany laga. America may mojod musalmano ko nafrat ki nigah sy dekha jany laga aur unhy giraftar kar k taftesh ki gai. Musalmano ko zehni aziat di gai, unhy zabardasti gharon sy utha kr gayeb kar diya jata tha. Musalmano par nokrian tang krdi gai, taleemi idaron may bhi yehi nafrat-angaiz rawaiye samny ay.

        Pakistanio par visa pabandi aaid krdi gai aur yun lagny laga kay jaisy Pakistan hi mojrim ho. Ghar walon ko saat samandar paar bethy apny pyaron ki fikar satany lagi aur dollars kay bajaye apny bachon ki zindagi aziz hogai. America ny Al-Qaeda sy badla leny kay liay Afghanistan par hamla kr diya jis kay bad sy American afwaj ab tak Afghanistan may mojod hai.

       Us waqt kay Pakistani sadar Perveez Musharraf aur America kay sadar George W.Bush ny aapas may ek moiday kay tehad deshatgardon kay khelaf ailan-e-jang kr diya taham is ittihad kay bad bhi America may mojod Pakistanio ko koi faida hasil na howa. Ab tak deshadgardon kay khelaf ki jany wali karwaion may sab sy ziyada nuksan Pakistan ko howa jis may takreban 35,000 Pakistanio ko qurban kr chokay hain jin may foji bhi shamil hain aur latadad log lapata hain.

       
 September 9/11 kay wakiay ny pori duniya ko badal kr rakh diya aur ab logo ki America jany ki dil-chaspi bhi bhuhat kam hogai hai aur jahan do boland-o-bala World Trade Center thy ab wahan yaadgar kay tor par roshni asman ko choti hai. Mulk sy bahar jakar rozi kamana mazak nahi hota, Apno ki yaad hamesha bechen krti hai taham is kay bawajod apno kay behtar mostaqbil kay liay itna bara kadam uthaya jata hai lykin is kay ilawa hony waly wakiat bhi beronay mulk basny walon ko mutassir krty hain jo kay takleef day hota hai behtar yehi hai kay kum hi sahi lykin apno kay bech reh kar hi kamaya jaye aur yahen kay wasail ko baro-e-kar laya jaye taky mulk bhi mazbot ho aur apno ka sath bhi hasil rahy.

Wednesday, 13 November 2013

Scarcity of Employment In Our Country

 

            Rozgar ka hona ksi bhi bunyadi zarurat ko poora karnay kay liye bohat zaruri hai kuonkay is kay baghair koi bhi shakhs usay poora nahi kar sakta. Ye ek aisa masla hai jis se aaj hamyn har nojawan paryshan nazar aata hai. Ye na sirf teesri dunya ka masla hai balkyh ab maghribi mumalik bhi is ki lapyt me aa chukay hyn.


            Pakistan me is waqt berozgari ki shrah taqreeban 6.30 fisad hai jis me din ba din izafa hota ja raha hai lehaza nojawan taleem yaftah hon ya ghair taleem yaftah sab hi berozgari ki saf me kharay nazar aatay hyn. Barhti hoi berozgari ki kayi wajuhat hyn jin me ek wajah ye hai kyh yahan ghair mulki sarmaya kari na honay kay barabar hai jis ki wajah mulk me barhti hoi dyhshat gardi ki wardatyn hyn jin ki badolat mulk ka amn o amaan khatam ho chuka hai. Yhan rozana ki bunyad par bomb blasting, drone hamlay, khudkash hamlay aur agwa barye tawan ki wardatyn hoti rehti hyn naiz gair mulkiyon ko bhi qatal kiya ja chuka hai jis kay baes gair mulki sarmaya kar apna sarmaya yahan laganay ke liya razi nahi hotay. Karachi' Pakistan ki maeshat kay liye " Back bone " yani reerh ki haddi ki hasiyat rakhta hai lykin yahan ke halaat to bad say badtar ho gaye hyn. Yahan tashaddud, hartaalyn, agwa baraye tawan, bhatta khori loot maar aur qatal o garat ka bazar sargram hai lehaza mulki sarmaya karon ne bhi doosray shehron aur mulkon may apna sarmaya muntaqil karna shuru kar diya hai.


            Berozgari ki ek wajah mulk ki doobti aur larkharati maeshat hai jo gair mulki qarzon kay bal par aur note chap chap kar chalayi ja rahi hai. Pakistan mazi me kayi bar IMF say qarzay hasil kar chuka hai. Ye qarzay waqti bohran say bachnay kay liye to theek thay lykin ab is kay nataej bohat ziyada khatarnak sabit ho rahay hyn. Aaj hukumat ka poora moashi nizam mehaz qarz kay saharay hi chalaya ja raha hai. Es kay elawa Pakistan me kayi salon say sanaton ka qayam amal me nahi laya gaya aur yahan wasael bhi mehdood hyn.

            Pakistan ki barhti hoi aabadi bhi rozgar me rukawat ka sabab banti ja rahi hai chunacha aabadi kay har fard tak bunyadi sahulaton ki farahami ab mushkil ho gayi hai. Pakistan ki 65 % aabadi nojawanon par mushtamil hai jis me say nojawanon ki aksariyat berozgar hai. Shehron me berozgari ki shrah dyhi elaqon ki nisbat ziyada hai jis ki wajah ye hai ke chotay chotay qasbon, zilon aur gaon goth se logo ki aksariyat sirf rozgar ke husool ki gharz se baray baray tijarti shehron ki taraf ziyada rukh ikhtiyar karti hai aur phir wahan mukammal sukunat ikhtiyar karnay ki koshish bhi karti hai kuonkyh wahan un ke pas rozgar kay behtar mawaqay mojood nahi hotay hyn.

            Hamaray mulk me sarkari idaray is qabil nahi hyn ke woh rozgar faraham karyn kuonkyh un kay pas mojooda afradi quwwat ke liye bhi tankhuwah ka intizam karna mushkil ho gaya hai lehaza rozgar ki farahmi kay imkanat bhi ab kam ho gaye hyn. Es kay elawa berozgari ki ek aur wajah jadeed machines aur softwares ka istimal bhi hai lehaza sanaton me insan ki afradi quwwat par inhisar bhi ab kam ho gaya hai. Mulazmat ki farahmi ke silsilay me hamaray han merit ka koi khayal nahi rakha jata aur baaz jagahon par bhari rishwat bhi li jati hai jis ki wajah say idaray mazboot nahi balkay kamzor hotay ja rahay hyn. Ek wajah ye hai kay educational institute career conseling nahi ki jati chunacha nojawan career kay intikhab me ghalati kar dytay hyn aur jis ka idrak unhyn bad me hota hai. Agar nojawano ko nokri mil bhi jati hai to sahulatyn na honay kay barabar hoti hyn.

 

            Pakistan me berozgari ki sharah me musalsal izafa hota ja raha hai jis ke manfi asraat hamaray moashray per par rahay hyn. Rozgar na honay ki wajah se nojawan ahista ahista juraim ki dunya me chalay jatay hyn. Ya phir mayoos ho kar khudkushi karnay par majboor ho jatay hyn.


            Bohat say log berozgari ke sabab apnay pooray khandan kay saath khudkushi kar letay hyn kuonkyh wo apnay maali masael ko hal nahi kar patay aur un kay pas is kay siwa aur koi chara nahi hota. Aaj kal to berozgar nojawano ko log apnay ghalat maqasad ke liye bhi istimal kar rahay hyn wo jo chahtay hyn un say karwa laytay hyn. Bohat say logon ne apnay bachon ko bhi bychna shuru kar diya hai. Kuch log to apnay gurday tak bechnay par majboor ho gaye hyn. Khawateen ke saath to is se bhi bura hot hai wo razgar na honay ki wajah say jism faroshi ki taraf raghib ho jati hyn ya bheek mangti nazar aati hyn.

            In halaat ke pysh e nazar berozgari ko roknay aur es par qabu panay kay liye mulk me siyasi bohran aur rishwat ko khatam kiya jaye, maeshat ko mustahkum bnaya jaye aur aabadi par qabu paya jaye. Es kay elawa jadeed taleem ko nafiz kiya jaye mulk me aman qayem karnay kay liye aslah par pabandi lagayi jaye aur merit ki bunyad par logon ko jobs di jaye aur sanaton me tarbiyati marakaz qaem kiye jayen aur aisay program tarteeb diye jayen jo tasalsul kay saath qaem rahyn takyh berozgari par ksi had tak control kiya ja sakay.

Tuesday, 12 November 2013


7 Reasons why university students should not wear uniforms



1)  A university life is an initiation in to adulthood

     School is over, and the real life starts right from here and in real life you dont wear uniforms. The issue is that, if you promote uniforms at the university level you are conditioning the young adult to a sheltered life, one that is not ready to see what the world has to offer. Students have to learn to become comfortable in their own skin and not rely on a uniform to identify themselves to the world.

2)  Uniforms make you look plain and dull

      Students should be able to express themselves not only by accademics or personality but by style and fashion. Everyone wants to stay in vogue and dress according to the fashion.

3)  Uniforms take your indiviuality away

     You cant really be yourself when you wear uniforms. Everyone should have a freedom to dress according to their will. We express our moods and personality through our clothes.

4)  Wearing a uniform will not save money

     Wearing a uniform does not necessarily save you money on clothes. clothes will be purchased regardless of university requirements and regualr clothes do last longer as they can be worn at many more occassions.

5)  Uniforms do not stop people from staring at you

     People often complain that males students in a university stare at their female counterparts just because they are not wearing uniforms is totally pointless and absurd. Males will always be males, and those who have a habit to stare, will stare at you regardless of what you are wearing.

6)  Liberty to dress

    Liberty to dress is the best way of teaching the students to present themselves with confidence and elegance publicly and in the real world.

7)  Uniform in a school is ok but in a university it is not

     Stepping into a university is the time to face responsibilities, develop indiviuality and personal values. It is a time when students have to focus on building their careers. You cant force a child to wear a professional suit to school and similarly you cannot ask an adult to wear a uniform to university.

Are we too obsessed with the fair skin?




Looking for a suitable groom, making friends, being accepted in the society or getting ahead at work. For getting all these things done you need to have a lighter or rather fair skin. The demand of fair complexion from girls in our society is too damn high. Regardless of her qualification, mannerism, attractive personality and good family background, a girl is rejected or belittled on the basis of her complexion.
     This has become a norm in our society. And our society's materialistic approach shows that we still live in the stone age where woman is just an entity. We as a society need to get away with this mindset. In this part of the world the 'gora rang' is used to measure the beauty. According to many people around the world, dark complexions are way more attractive. Then why are we so obsessed with the fair skin? Why we consider fair complexion as a real beauty? 
    Sometimes this discrimnation gets so severe that it results into depression and even suicide in some extreme cases. To make matters worse, we have fairness and bleaching creams in the market which sell like hot buns. This discrimination is further promoted by the advertisements that you can only be accepted in the society if you have a fair skin. As a result of this, girls often use expensive creams, home made remedies and also consult dermatologists and skin care centre without being sure of their authenticity and credibility.
   It is high time, we should stop judging beauty by the color of the skin and see the other aspects like personality, style, qualification and manners. We should stop objectifying women and treating them as a commodity. They are not chammak challos and chikni chamelis. They have not been created for your entertainment and pleasure.If you cannot respect a woman then you do not deserve to be respected either.

"Cyber Crime Aur Os Kay Muzir Asraat"



Cyber crime ek asa crime hai jis kay naam say hee insaan na sirf pareshan hojata hai balkay is kay sar-e-aam buray asraat say bhi achay say waqif hain cyber crime ki ek alagh hee dunya hay jismay na sirf logo kay jazbaat aur ehsasaat say khaila jata hay balkay unki shakhsiyaat  bilkul hee ek naye rukh mai tabdeel kar di jati hain.aaye in kay chan buray asraat per ghor kartay hain  jin mai say Virus/worm attacks hain .
         Virus ek asa marz hai jo hum sub kay beech bohot aam hai ,agar yah computer main daakhil hojaye tu yah na sirf apka computer kharab kar deta hai balkay apki zaati aur ahem files tabha kar dayta hai.cyber crime ki dusri eksaam  jo kay Email spoofing hai yah ek asa crime hai jis main apki zaati e-mail jo kay ek kisi domain site kay server per safe hoti hai unko e-mail spoofing kay zariyay chura liya jata hay jis mai naa sirf ahem mails hoti balkay saath mai attachments jo tasveer ki shakal mai bhi ho sakti hay woh is crime kay zariyay ghayab ho jati hai aur phir internet per woh tasveeray  shaya kardi jati hain takkay puri dunya ko dehki ja sakay, is say apki zaat  bohot muhtasir hoti hai . Agar hum Pakistan kay nazariay say dekhein tu ,yun hee sirf chan saal howay hain is internet service ko aaye ,magar Pakistan mai ajj bhi is 2013 kay saal mai is cyber crime ko roknay ka koi muyassar tareeka nahi ijaad huwa hay balkay saabiq sadar Musharraf sahab kay daur mai albatta cyber crime per ek law paas huwa tha magar ajj tak uss par koi pash rafat nahi hoi,Agar is he tarha chalta raha tu jo log is ghinonay crime mai shamil hai woh baa asaani say apkay ghar kay mamlat,bank kay accounts,zaati email aur deegar cheezo mai aram say tabdeeliya kar saktay hain. Pakistan mai jo law pass huwa tha us par zimay daraan jald say jald kaam shuru kardein taakay jo log is crime ki zad mai mubtala ho chukay hain unko nijaat mil sakay..

Monday, 11 November 2013

Hardee's Angus thickburgers launch campaign: A hit or miss?


While driving through the roads of Karachi, i came across some billboards that were too explicit and bold. It took me some time to figure out that it was a launch campaign for American fast food chain Hardee's new Angus thickburgers.
 The campaign has gained enough publicity and recieved a great deal of attention on social media due to the subliminal taglines such as "unbuckle your belt","use both hands" and "open wide".




In the ads, the Angus thickburgers are nowhere to be seen, instead one sees blown up figures of a pair of hands holding the invisible Angus, a wide open mouth and an extreme close up of an unzipped denim.



The campaign generated some noise, got noticed and was talked about. People liked it, took pictures, pointed fingers, posted the ads on twitter, facebook and instagram. Discussions took place on social media and many blogs were written to highlight the campaign.


Good or bad, the gutsy initiative by Hardee's is commendable for pushing the envelope and for breaking free from the monotonous and typical fast food advertising. The campaign was bold yet very creative.

"Economical Crisis In Pakistan"


Kisi bhi mulk ki economy ko jab dehktay han tu pata lagta hai kay yah mulk kis taraha tarraki kar raha hai is kay kitnay resources hain kitna paisa araha hai is ka andaza lagaya jata hai.Ajj kal Pakistan ki economy  bohot boray waqt se guzar rahi hai.jis main is ko beshumar masail ka samna karna parh raha hai.Pakistan ki economy ka zarya Industries hain jis main agar kuch tarakki kay liy banaya jata hai tu sub se bara masala wahan bijili or gas ki kami or loadshedding hain .or is ki waja se humari kafi sari industry band horahi hain .or berozgari main din ba din Izafa horaha hai. 
       Leather industry jo mulk ki economy ka ek ahem sector mana jata hai magar agar 8 ghantay bijili or gas ki loadsheding ki jaye tu is waja se  industry or mulk ko bohot nuqsaan hota hai or yah bhi samhja jata hai kay agar yah sahi hoo tu mulk ki economy achi hosakti hai per badkismati se asa nahi hai.Government chayah tu is ko behtar banay main madad kar sakti hai per har new government akar yah daway karti hai kay mulk main bijili ki loadshedding khatam hojaye gi per is per aamal kuch nahi kiya jata .Is kay baad humaray mulk main law n order ki surat e haal bhi bohot kharab hain or sath main infrastucture development bhi nahi hai.
          Is kay elwa Pakistan main corruption har sector main bohot zada hai taxes pay nahi kiye jatay .Pakistan ka GDP ratio sirf 9% hai jo dosray mulko se bohot kam hai kisi bhi average mulk ka GDP ratio 16 % hona chayah jab samhja jata hai kay han yah mulk tarrakki kar raha hai or economy achi horhi hai.
hum yah tu kehtay hain kay humaray hain taxes jama karwanay walay 2.7 million hain .un main se bhi kitnay log taxes dety hain or kitnay nahi.humaray mulk ki Abaadi takreeban 18 core hai jis main se sirf 1 lac log  sale taxes pe karty hain asay main mulk kasay taraaki kar sakta hai .is per humari government ko chayah kay action lein.
         Pakistan wasay kehnay ko tu ek agricultural mulk kehlata hai or humaray mulk ki economy ka ek bara hissa is per base karta hai per kiya humaray mulk main agriculture per koi taxes nahi tu economy kasay barhay gi. is kay elwa humain corruption  ko rohkna hoga aur agar humaray mulk main corruption he khatam hojaye tu humara mulk Pakistan bohot tazi se tarraki kar sakay ga.humara mulk natural resources se malamal hai sindh main thar coal main coal ki itni miqdar hai kay hum chayah tu khud apnay mulk ki bijili bana sakty hain or hum os ko use karien tu 400 saal tak bina loadshedding kay bijili aasakti hai.humari economy crisis ek he taraha haal hosakty hain kay agar government apni policy ko behtar banaye or law n order ko sahi karay or awaam bhi rules ko follow karay tu Pakistan ki economy bhi tarrakki kar sakti hai.

Sunday, 10 November 2013

Gair Ikhlaqi Entertainment Kay Asrat




        Iqbal kay is shair may zindagi ki ek bari sachai majod hai kay Allah Ta'lla ki sab sy anmol takhlek aurat har sorat may kabil-e-ahtaram hai aur yehi wo rang hai jisky hony sy zindagi rangen hai lykin aisa us hi sorat may mumkin hai kay aurat ka ahtaram kia jaye aur izzat de jaye. Aurat maa, behan, beti aur bewi jaisy mohtram aur muqaddas rishton ka naam hai. Mazhab Islam may bhi aurat ko barabri ka darja diya hai, ussy izzat ka pekar banaya gaya hai aur mard ko uska mahafiz banaya hai lykin mashray may barti hoi berah-rawi ny na-sirf in rishton ko pamal kia jaraha hai balkay in ki tazlil bhi ki jarahi hai.

        Media entertainment ka ek aham zariya hai jisky liay t.v, cinema aur radio ka intikhab kia jata hai lykin gozishta chund saalon may entertainment kay naam pr dekhay jany waly wahyat programs mashray may begad ka baiz ban rahy hain. Aurat pehly bhi mashray ki tazlil aur asmat-dari ka shekar banti aai hai taham ab kuch arsay sy is kisam kay wakiat may tezi sy izafah horaha hai. Gair ikhlaqi mozoat aur nazeba manazir sy banny wali movies aur dramas ny entertainment ka matlab badal diya hai. In gair ikhlaqi entertainment kay izafay may Indian movies ka bara hath hai jin may aisi beshumar movies shamil hain jis may aurat ko na-sirf ghalat andaz may balkay ussy be-abroo bhi kia jata hai. Pechly kuch arsay may aany wali chund movies may Masti, Fashion, Kya kool hai hum, Bachna ae haseeno, Vicky donor, Kya super kool hain hum, Grand masti aur Shuddh desi romance jaisi movies sar-e-fehrist hain.







        In movies may aurton kay sath ghalat rawaiya rakha gaya hai aur in movies kay mozoat ki wajah sy aurton sy ziatti kay wakiat may izafah howa hai aur in wakiat may shiddad aati gai. India hi may ziatti kay wakiat tezi sy bar rahy hain aur aisy may is kisam ki movies ikhlakiat ko bori tarhan tabah kr rahi hain. 
Jyoti Sing Pandey(Nirbhaya), (Late)


        Pechly saal Delhi may Jyoti Sing Pandey(Nirbhaya) jo kay ek medical student the ussy chalti hoi bus may gang rape ka neshana banaya gaya. Is wakiay ny sari duniya ko hila kr rakh diya aur entertainment kay naam pr dekhay jany waly programs ny media pr bhi ek sawalia neshan laga diya hai. In wakiat kay liay sirf Indian(bollywood) movies ko hi zimmadar nahi theraya jasakta, Pakistan may bhi aurton balkay is sy bhi ziyada khofnak bat ye hai kay kamsen bachion kay sath ziatti kay wakiat manzar-aam par arahy hain. Do saal kabal Geo tv par nashar kiya jany wala drama ''Bol Meri Machli'' ek aisa mozoh tha jis may mard ka maqro roop pesh kia gaya, ye ek haqiqat bhi hai kay humary mashray may kuch aisy anasir mojod bhi hain lykin is drama ko jis andaz may pesh kia gaya ussy dekhny walon ki kuch tadad ny tu pasand kia jab kay bhuhat bari tadad aisi the jinho ny is par tanqid bhi ki, is hi tarhan is saal bhi ek bar pher Geo tv pr ''Nanhi'' naami drama aya jisky mozoh sy ziyada us kay manazir ny logo may narazgi paida krdi aur is kisam kay dramas kay bad sy kamsen bachion kay sath ziatti kay wakiat may izafah dekha jaraha hai. Humary Pakistani channels par roz subha dekhay jany waly morning shows bhi ghatia mozoat aur nach gany jaisy shows krny may agay agay hain. PEMRA jo Pakistani tv channels par dekhaye jany waly har program ka zimmadar hai is gair ikhlaqi entertainment kay khilaf kuch nahi krta. 

        Delhi ki sarzameen larkion kay liay gair mehfoz hoti jarahi hai aur wo mard jo aurton kay mahafiz hain unhi may sy koi na koi in wakiat ka zimmadar bhi hai. Samaji tanzemo ny bhi gair ikhlaqi entertainment kay khelaf ahtijaj kia aur inhy band krny ka mutalba kia, Afsos is bat ka hai kay India may badty hoay wakiat kay bawajod "Vicky Donor", "Grand Masti" aur ''Shuddh Desi Romance" jaisi movies ko release krny ki ijazat mil jati hai.

        Kiya Jyoti jaisy wakiat mashray ki ankhen khulny kay liay kafi nahi hai? Ya agay mazed aisy wakiat ka intizar kia jaraha hai? Aisy wakiat ki rok-tham hum sab ki zimmadari hai warna hummy khuda kay azab sy koi nahi rok sakta. Aurat har mashray ki izzat ki alam-bardar hoti hai aur ye izzat uska haq hai. Hummy chahye kay hum har satah par is kisam ki ghatia entertainment ki mukhalfat karen taky humara mashra humari izzaton kay liay mehfoz ban saky aur issy mehfoz banany may khud mard sab sy aham kirdar aada krsakty hain. Hum is kisam ki entertainment ki sakht mokhalfat krty hain kyon kay ye meri aur aap ki izzat ka sawal hai.