Violence Against Women In Pakistan
Pakistan ek islami mulk hai. Aur islam may aurton ko intihai buland maqam hasil hai. Islam ne ager beti hai to isko rehmat kaha hai. Aur ager maa hai to is kay qadmo taley jannat rakhi hai. Aur aurat khuwa maa, beti, behan ya biwi kay roop may ho is kay begair insani mashra namukamil hai. Majuda mashrey may aurton ne zindagi kay tammam shaubon may mardon kay sath qadam se qadam milaya hai. Mardon kay sath her shaubey may shana bashana kam kia hai. Lekin is mulk may aurton ko in kay bunyadi huqook kay mamley may hamesha nazer andaz kia giya hai. Akser dihaat aur qabayeli nizam may rehney wali aurton per aaj bhi zamana jahiliyat kay daur may honey wali rasmo riwaj ka itlaaq kia jata hai. Wani aur karo kari jaisy rasm, gang rape, jabri mushaqat, maar peet, bachiyo ki marzi kay khilaf shadi , izzat kay naam per qatal, virasat say mehrumi aur haq mehar ki kam adayegi jaisi gair aadilana aur gair munsifana taqseem hai. Aur in jahlana rasmo riwaj ki waja se islam or Pakistan ki aalmi satah per jag hansayee horhe hai. Jab kay shariyat islam say in rasmo riwaj ka dur dur tak koi wasta nhe hai.
2013 may bhi aurton per tashadud ka silsila na ruk saka is saal bhi aurton per tashadud kay cases may izafa hua hai. Pakistan may khawateen kay huqook kay liye kam kerney wali naji tanzeemo ki muratib kerda report kay mutabiq rawan saal may ab tak mukhtalif shehro may rehney wali khawateen per tashadud kay 1444 cases samney aachukay hain. Is report kay mutabiq 316 khawateen ko zaati dushmani ki bina per qatal kia, 112 khawateen gharelu tashadud ka shikar huin, 114 khawateen kay sath jinsi ziyadti kay waqiat pesh aaye, 44 khawateen per taizab phenka giya aur itni he tadaat may aurton ko zinda jalaney ki koshish ki gaye hai. Lekin afsos is baat ka hai kay qanoon saaz idarey, NGOs, or civil society kay itney bulando baang wadey kernay kay bawajood itni bari taadat may tashadud kay waqiat samney ayein hain.
Hairat ki baat ye hai kay is terha kay waqiat may Punjab pehley no per hai jahan in cases ki tadaat 4,766 hai. Is ki waja ye hogi kay ye zada abadi wala suba hai. Aur is kay sath he khawateen per tashadud kay waqiat may Sindh dusrey no per jahan in cases ki tadaat 1,628, teesrey no per KPK jahan 674, chotey no per Islamabad jahan 281, Aur paanchwey no per Balochistan hai jahan in waqiat ki tadaat 167 hai. Aur jab kay Sindh may abhi aisey buhat say ilaqay majud hain jahan zada ter jagir darana, waderana aur qabayeli nizam majud hai. Jahan larkiyo ko in kay haq say mehrum rakha jata hai. Inhe birabri ka darja nhe diya jata. Aur jab inki taleem ki bat ati hai to ye kaha jata hai kay ye taleem hasil ker kay kia karien gi. Taleem hasil ker kay ye bigar jayengi. Jab kay ye log bhul jatey hain kay taleem hasil kerna her mard aur aurat per farz hai. Aur akser in jagir darana aur qabayeli nizam may jab do fariqon kay darmiyan jirga hota hai. To jo fariq qusurwar samjha jata hai. is fariq kay gher ki larki ki shadi saza kay tor per dusrey fariq kay gher kerdi jati hai. Jahan in kay sath nokraniyo jaisa suluk hota hai. Sindh kay kuch ilaqo may ab bhi ye dekha giya hai kay wahan jayedad ki waja se larkiyo ki shadi nhi ki jati ya phir Quran Pak se in ka nikah kerdiya jata hai. Jo kay in aurton kay sath ye buhat bara zulm hai.
Or sab say zada tashweesh ki bat ye hai kay aurton kay upper tashadud kay waqiat may jo roz baroz izafa horaha hai. Us say in aurton ki zehny-o-jismani sehat or mashi badhali dusro per inhisar ka bayes banti hai. Or in waqiat may batadreej izafa is bat ki nishan dahi kerti hai kay aurton ko mashrey may birabri ka haq nahi diya jarha hai. Jab kay mulk bher may in waqiat ki rok tham kay liyen kayi naji tanzeemain kam kerhi hain. Lekin in ka kirdar mauser na hone ki waja se aurton ki mushkilat may kami waqey nahi horhe hai. Ye suratehal is bat ka taqaza kerti hai kay muntakhib numayendigan, muhakmaye police, muhakmaye sehat, wuqla or media say taluq rakhnay waley log faurun in waqiat ka notice le ker qarwayi amal may layien. Or in barhtey huay jirayem ko roknay kay liye misbat hikmat-e-amli ikhtiyar karien. Or is kay sath he mauser qawaneen or insaf ka nifaz zaruri hai. Or mardo ko khawateen per tashadud kay hawaley say agahi or taleem dena is waqt ki eham zarurat hai. Or ager hukumat waqayi awami hukumat qayem kerna chahti hai to mashrey say her zulmo sitam ka isthisaal or tamam kabih rasmo riwaj ka khatma karien. Or is mulk ko haqeeqi mayeno may islami falahi riyasat banayen.
No comments:
Post a Comment