Cyber crime ek asa crime hai jis kay naam say hee insaan na
sirf pareshan hojata hai balkay is kay sar-e-aam buray asraat say bhi achay say waqif
hain cyber crime ki ek alagh hee dunya hay jismay na sirf logo kay jazbaat aur
ehsasaat say khaila jata hay balkay unki shakhsiyaat bilkul hee ek naye rukh mai
tabdeel kar di jati hain.aaye in kay chan buray asraat per ghor kartay hain jin mai say Virus/worm
attacks hain .
Virus ek asa marz hai jo hum sub kay beech bohot aam hai ,agar yah computer main daakhil hojaye tu yah na sirf apka computer
kharab kar deta hai balkay apki zaati aur ahem files tabha kar dayta hai.cyber
crime ki dusri eksaam jo kay Email
spoofing hai yah ek asa crime hai jis main apki zaati e-mail jo kay ek kisi
domain site kay server per safe hoti hai unko e-mail spoofing kay zariyay chura
liya jata hay jis mai naa sirf ahem mails hoti balkay saath mai attachments jo
tasveer ki shakal mai bhi ho sakti hay woh is crime kay zariyay ghayab ho jati
hai aur phir internet per woh tasveeray shaya kardi jati hain takkay puri dunya ko dehki ja sakay, is say apki zaat
bohot muhtasir hoti hai . Agar hum Pakistan kay nazariay say dekhein tu
,yun hee sirf chan saal howay hain is internet service ko aaye ,magar Pakistan
mai ajj bhi is 2013 kay saal mai is cyber crime ko roknay ka koi muyassar
tareeka nahi ijaad huwa hay balkay saabiq sadar Musharraf sahab kay daur mai
albatta cyber crime per ek law paas huwa tha magar ajj tak uss par koi pash rafat nahi hoi,Agar is he tarha chalta raha tu jo log is ghinonay crime mai
shamil hai woh baa asaani say apkay ghar kay mamlat,bank kay accounts,zaati
email aur deegar cheezo mai aram say tabdeeliya kar saktay hain. Pakistan mai jo
law pass huwa tha us par zimay daraan jald say jald kaam shuru kardein taakay jo
log is crime ki zad mai mubtala ho chukay hain unko nijaat mil sakay..
No comments:
Post a Comment