"Illm hasil karo chahye is kay liay tumhy chine hi kyon na jana paray" ye bat hamesha sy hashol-e-illm kay liay kahi jati hai taham ab saat samandar paar mehas illm hasil krny kay liay nahi jaya jata balkay apny mayar-e-zindagi ko buland krny aur mashi halat sy majbor hokar bhi apny pyaro sy dor jana parta hai. Aisa ab kam hi dekhny may ata hai kay log dosray mumalik sirf ghomny pherny jain. Ab sirf ser-sapaty kay liay wohi omra bahar jaty hain jinky baiz dosray log apna mulk chor kr bahar nokri krny par majbor hoty hain.
Aaj sy takreban 20 saal pehly 90's may bhuhat sy logo ny behtar rozgar kay hawaly sy America aur England ki taraf rukh kia, in may bhuhat sy nojawan taleem kay silsily may America aur Bartania gay halanky kay us waqt may visa mil jana ek mushkil amal hota tha jo kay aaj aur bhi ziyada mushkil amal hai.

America ek bari super power hai jiski sab sy aham wajah mashi istehkam hai aur yehi wo wajah hai jisky baiz US dollar duniya ki mazbot-taren currency hai. Ibtida may America jany walon ki yakdum badal jany wali zindagi sy bhuhat sy log mutassir hoay aur sab may berony mulk rozgar ki khuwahish paida hony lagi. America ny bhi Pakistanio aur Indians ko kholay hathon sy kabol kia. Ahesta ahesta Pakistani aur Indians apni mehnat sy American maishat ka ek aham hissa ban gay.
Taleem may bhi America apni mesal aap hai is liay nojawan behtar taleem kay liay America jana pasand krty hain. Students visa par America anay waly students ko taleem kay sath sath part time job krny ki bhi ejazat hoti hai is liay students parhai kay sath nokri bhi krny lagy aur Pakistan may mojod apny ghar walon ko paisy bhi bhejny lagy. Dollars may anay wali kamai ghar walon ko bhi bhali lagny lagi aur larkion kay liay anay waly America may moqeem larkon kay rishtay pur-kashish hogay.
Dollars may Pakistan anay wali kamai ny Pakistan kay zar-e-mobadla may bhi tezi sy izafah kia jis sy Pak-America tallukat bhi mazbot hoay. Sab kuch behtar andaz may chal raha tha lykin kahen na kahen khamoshi sy koi sazish bhi ban rahi the aur bilakher is sazish ny aamli shakal ikhtiyar krli.

World Trade Center (WTC) |
Boland-o-bala emarten America ki pehchan hain aur ye emarten America may basnay walon aur wahan anay walon kay liay tawajjah ka markaz bani rehti hain. World Trade Center(Twin Towers) duniya ki boland-taren emarten the jo 4th April 1973 may qaim hoi. World Trade Center saat complex par mushtamil emarten then jin may sy twin towers sab sy boland-taren then. September 9, 2001 ko America kay shehar New York may mojod World Trade Center ko jahaz kay zariay neshana banaya gaya jis may takreban 3 hazar afrad halak hoay. 9/11 ka ye saniha sirf America gham nahi tha balkay sari duniya kay liay ek seyah din tha.
Aasman sy baten krti hoi emarten do ghanty may zamee-bos hogain. Us din sirf World Trade Center khatam nahi howa balkay duniya ki maishat aur bhuhat sy masom logo ka mostaqbil bhi khatam hogaya. Ibtidai taftish kay motabiq tu Al-Qaeda ny is hamlay ki zimmadari kabol ki taham is hawaly sy motazad kahania mansob hain jab kay haqaiq aaj tak posheda hain.
9/11 kay hamlay sy poray America may ghussy ki lehar dor gai aur musalmano ko is ka zimmadar aur America dushman samjha jany laga. America may mojod musalmano ko nafrat ki nigah sy dekha jany laga aur unhy giraftar kar k taftesh ki gai. Musalmano ko zehni aziat di gai, unhy zabardasti gharon sy utha kr gayeb kar diya jata tha. Musalmano par nokrian tang krdi gai, taleemi idaron may bhi yehi nafrat-angaiz rawaiye samny ay.
Pakistanio par visa pabandi aaid krdi gai aur yun lagny laga kay jaisy Pakistan hi mojrim ho. Ghar walon ko saat samandar paar bethy apny pyaron ki fikar satany lagi aur dollars kay bajaye apny bachon ki zindagi aziz hogai. America ny Al-Qaeda sy badla leny kay liay Afghanistan par hamla kr diya jis kay bad sy American afwaj ab tak Afghanistan may mojod hai.
Us waqt kay Pakistani sadar Perveez Musharraf aur America kay sadar George W.Bush ny aapas may ek moiday kay tehad deshatgardon kay khelaf ailan-e-jang kr diya taham is ittihad kay bad bhi America may mojod Pakistanio ko koi faida hasil na howa. Ab tak deshadgardon kay khelaf ki jany wali karwaion may sab sy ziyada nuksan Pakistan ko howa jis may takreban 35,000 Pakistanio ko qurban kr chokay hain jin may foji bhi shamil hain aur latadad log lapata hain.
September 9/11 kay wakiay ny pori duniya ko badal kr rakh diya aur ab logo ki America jany ki dil-chaspi bhi bhuhat kam hogai hai aur jahan do boland-o-bala World Trade Center thy ab wahan yaadgar kay tor par roshni asman ko choti hai. Mulk sy bahar jakar rozi kamana mazak nahi hota, Apno ki yaad hamesha bechen krti hai taham is kay bawajod apno kay behtar mostaqbil kay liay itna bara kadam uthaya jata hai lykin is kay ilawa hony waly wakiat bhi beronay mulk basny walon ko mutassir krty hain jo kay takleef day hota hai behtar yehi hai kay kum hi sahi lykin apno kay bech reh kar hi kamaya jaye aur yahen kay wasail ko baro-e-kar laya jaye taky mulk bhi mazbot ho aur apno ka sath bhi hasil rahy.

No comments:
Post a Comment