Iqbal
kay is shair may zindagi ki ek bari sachai majod hai kay Allah Ta'lla ki sab sy
anmol takhlek aurat har sorat may kabil-e-ahtaram hai aur yehi wo rang hai
jisky hony sy zindagi rangen hai lykin aisa us hi sorat may mumkin hai kay
aurat ka ahtaram kia jaye aur izzat de jaye. Aurat maa, behan, beti aur bewi
jaisy mohtram aur muqaddas rishton ka naam hai. Mazhab Islam may bhi aurat ko
barabri ka darja diya hai, ussy izzat ka pekar banaya gaya hai aur mard ko uska mahafiz banaya hai lykin mashray may
barti hoi berah-rawi ny na-sirf in rishton ko pamal kia jaraha hai balkay in ki
tazlil bhi ki jarahi hai.
Media entertainment ka ek aham zariya hai jisky liay t.v, cinema aur radio ka intikhab kia jata hai lykin gozishta chund saalon may entertainment kay naam pr dekhay jany waly wahyat programs mashray may begad ka baiz ban rahy hain. Aurat pehly bhi mashray ki tazlil aur asmat-dari ka shekar banti aai hai taham ab kuch arsay sy is kisam kay wakiat may tezi sy izafah horaha hai. Gair ikhlaqi mozoat aur nazeba manazir sy banny wali movies aur dramas ny entertainment ka matlab badal diya hai. In gair ikhlaqi entertainment kay izafay may Indian movies ka bara hath hai jin may aisi beshumar movies shamil hain jis may aurat ko na-sirf ghalat andaz may balkay ussy be-abroo bhi kia jata hai. Pechly kuch arsay may aany wali chund movies may Masti, Fashion, Kya kool hai hum, Bachna ae haseeno, Vicky donor, Kya super kool hain hum, Grand masti aur Shuddh desi romance jaisi movies sar-e-fehrist hain.

In movies
may aurton kay sath ghalat rawaiya rakha gaya hai aur in movies kay mozoat ki
wajah sy aurton sy ziatti kay wakiat may izafah howa hai aur in wakiat may shiddad aati
gai. India hi may ziatti kay wakiat tezi sy bar rahy hain aur aisy may is kisam
ki movies ikhlakiat ko bori tarhan tabah kr rahi hain.
Jyoti Sing Pandey(Nirbhaya), (Late) |
Pechly saal Delhi may Jyoti Sing Pandey(Nirbhaya) jo kay ek medical student the ussy chalti hoi
bus may gang rape ka neshana banaya gaya. Is wakiay ny sari duniya ko hila kr
rakh diya aur entertainment kay naam pr dekhay jany waly programs ny media pr
bhi ek sawalia neshan laga diya hai. In wakiat kay liay sirf Indian(bollywood) movies ko hi zimmadar nahi theraya jasakta, Pakistan may bhi aurton balkay is sy bhi ziyada khofnak bat ye hai kay kamsen bachion kay sath ziatti kay wakiat manzar-aam par arahy hain. Do saal kabal Geo tv par nashar kiya jany wala drama ''Bol Meri Machli'' ek aisa mozoh tha jis may mard ka maqro roop pesh kia gaya, ye ek haqiqat bhi hai kay humary mashray may kuch aisy anasir mojod bhi hain lykin is drama ko jis andaz may pesh kia gaya ussy dekhny walon ki kuch tadad ny tu pasand kia jab kay bhuhat bari tadad aisi the jinho ny is par tanqid bhi ki, is hi tarhan is saal bhi ek bar pher Geo tv pr ''Nanhi'' naami drama aya jisky mozoh sy ziyada us kay manazir ny logo may narazgi paida krdi aur is kisam kay dramas kay bad sy kamsen bachion kay sath ziatti kay wakiat may izafah dekha jaraha hai. Humary Pakistani channels par roz subha dekhay jany waly morning shows bhi ghatia mozoat aur nach gany jaisy shows krny may agay agay hain. PEMRA jo Pakistani tv channels par dekhaye jany waly har program ka zimmadar hai is gair ikhlaqi entertainment kay khilaf kuch nahi krta.
Delhi ki sarzameen larkion kay liay gair mehfoz hoti jarahi hai aur wo mard jo aurton kay mahafiz hain unhi may sy koi na koi in wakiat ka zimmadar bhi hai. Samaji tanzemo ny bhi gair ikhlaqi entertainment kay khelaf ahtijaj kia aur inhy band krny ka mutalba kia, Afsos is bat ka hai kay India may badty hoay wakiat kay bawajod "Vicky Donor", "Grand Masti" aur ''Shuddh Desi Romance" jaisi movies ko release krny ki ijazat mil jati hai.

Kiya Jyoti jaisy wakiat mashray ki ankhen khulny kay liay kafi nahi hai? Ya agay mazed aisy wakiat ka intizar kia jaraha hai? Aisy wakiat ki rok-tham hum sab ki zimmadari hai warna hummy khuda kay azab sy koi nahi rok sakta. Aurat har mashray ki izzat ki alam-bardar hoti hai aur ye izzat uska haq hai. Hummy chahye kay hum har satah par is kisam ki ghatia entertainment ki mukhalfat karen taky humara mashra humari izzaton kay liay mehfoz ban saky aur issy mehfoz banany may khud mard sab sy aham kirdar aada krsakty hain. Hum is kisam ki entertainment ki sakht mokhalfat krty hain kyon kay ye meri aur aap ki izzat ka sawal hai.
No comments:
Post a Comment