“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Monday, 18 November 2013

Aashiana


        Ghar har insan kay liay sab sy pur sukon jagah hoti hai jahan Allah Ta'lla kay aata kiay hoay rishtay aur unka dher sara pyar basa hota hai. Ek ghar sirf apno kay pyar sy hi mukammal hota hai aur ye humary masharti iqdar bhi hain. Pakistani mashray may joint family system ka rojhan ziyada paya jata hai lykin badalty waqt kay sath is riwayat may tabdeli ati jarahi hai.

        Pakistan aur India may ek hi ghar may bary bary khandan rehty hain jin may Dada, Dadi, Nana, Nani, Abba, Amma, Taya, Tai, Chacha, Chachi, Phuppo, Phuppa, Mama, Mami, Khala, Khalo, Beta, Bahu, Beti, Damad, Bhai, Bhabhi, Behan, Behnoi aur bhi bhuhat sy chacha, mamoo zat bhai behan bhi tu hoty hain. Jahan char bartan hongy wahan awaz tu hogi aisa hi hota hai jab ek ghar may itny sary log ek sath rehty hon, ek dosray ka pyar izzat ahtaram aur sath thuri thuri nok-jhok bhi.



        Joint family system kay bhuhat sy faiday hoty hain jis may bary buzorgon ka tajarbah sab sy aham hota hai aur apny tajarbay ki bonyad par hi ghar ka nizam chalaty hain, bachay abba amma aur chacha chachi wagera ki nigrani may rehty hain jis sy bachon kay begarny ka khatra bhuhat kam hojata hai sath sath bary bhai behno ki rehnomai bhi hasil rehti hain. Khushi kay lamho may tu sab ka sath hota hi hai lykin mushkil ki ghari may bhi sab ek dosray ka sath nibhaty hain jis sy mushkilat ka muqabla krna asan hojata hai.

        Ek sath rehna wakai ek behtren riwayat hai lykin sath rehny sy baz okat aapas ki choti choti talkhian bar jati hain aur sath rehna mushkil hojata hai. Kabhi kabhi baron ki bat bat pr rok-tok nagawar lagny lagti hai aur aisa aksar saas bahu kay bech hota hai, choti choti talkhian jhagron may badal jati hain, aay din kay jhagron sy ghar mehdan-e-jang lagny lagta hai aisy may larky kay liay sab sy ziyada doshwari hoti hai jab ussy maa ki farmabardari bhi krni hoti hai aur bewi kay hoqoq bhi poray krny partay hain. Har insan ka mizaj ek dosray sy mukhtalif hota hai, agar kisi ek ko kuch pasand hai tu dosray ko kuch aur aisy may sab ka kisi ek bat pr ittifaq krna mushkil hojata hai jis sy shekayat paida hony lagti hain. Bhai ko bhai sy shekayat hoti hai aur kabhi kabhi ye shekayat itni sangen hojati hain kay do bhai ek dosray ko bardasht krny kay bhi rawadar nahi hoty. EK khush-haal gharany ki bonyaden dam tornay lagti hain.



        Choty choty jhagron kay bawajod bhi sath raha jasakta hai lykin jab bat jaidadon ki taqseem ki ati hai tu sagay rishton ka khoon bhi safaid hojata hai aur wo apny jinky sath sari zingadi guzari hoti hai un hi sy nafrat hony lagti hai aisy may mazed halat ko kharab hony sy bachany kay liay log alheda rehaish ikhtiyar kr lety hain, aisa krny sy roz roz ki chik chik sy tu bacha jasakta hai lykin alag rehny sy bhi bhuhat sy masail hoty hain jaisy baron ki duain, unka pyar, unki shafqat kho dety hain, mushkil waqt may kisi ka sath nahi hota, apni zindagi kay tamam feslay khud hi leny partay hain kisi ki rehnomai hasil nahi hoti. Dada Dadi kay pyar sy mehrom bachay pher apny maa baap ki bhi izzat nahi krty kyon kay wo maa baap ka dada dadi kay sath rawaiya dekh rahy hoty hain.

        Bozorg ghar ki rehmat hoty hain tu kiya howa kay agar kabhi wo kuch keh den, unki rok-tok kabhi bilawajah nahi hoti aur unka maqsad apny pyaron ki bhalai hi hoti hai. Bhai behno kay bech kay jhargon ko hawa nahi dena chahye kyon kay ye wohi bhai behan hoty hain jin kay sath sara bachpan guzra hota hai. Saas bahuwo ko chahye kay thura dar-guzar sy kam len taky ghar ka sukon barqarar rahy kyon kay ourat hi ghar ko jannat banati hai aur ourat hi jahannom bhi. Ittihad may hi barkat hai, chand faidon kay liay rishton ko nahi chorna chahye kyon kay jin gharon may rishten bekhar jaty hain wahan sy Allah ki rehmat bhi uth jati hai.

No comments:

Post a Comment