Monday, 11 November 2013
"Economical Crisis In Pakistan"
Kisi bhi mulk ki economy ko jab dehktay han tu pata lagta hai kay yah mulk kis taraha tarraki kar raha hai is kay kitnay resources hain kitna paisa araha hai is ka andaza lagaya jata hai.Ajj kal Pakistan ki economy bohot boray waqt se guzar rahi hai.jis main is ko beshumar masail ka samna karna parh raha hai.Pakistan ki economy ka zarya Industries hain jis main agar kuch tarakki kay liy banaya jata hai tu sub se bara masala wahan bijili or gas ki kami or loadshedding hain .or is ki waja se humari kafi sari industry band horahi hain .or berozgari main din ba din Izafa horaha hai.
Leather industry jo mulk ki economy ka ek ahem sector mana jata hai magar agar 8 ghantay bijili or gas ki loadsheding ki jaye tu is waja se industry or mulk ko bohot nuqsaan hota hai or yah bhi samhja jata hai kay agar yah sahi hoo tu mulk ki economy achi hosakti hai per badkismati se asa nahi hai.Government chayah tu is ko behtar banay main madad kar sakti hai per har new government akar yah daway karti hai kay mulk main bijili ki loadshedding khatam hojaye gi per is per aamal kuch nahi kiya jata .Is kay baad humaray mulk main law n order ki surat e haal bhi bohot kharab hain or sath main infrastucture development bhi nahi hai.
Is kay elwa Pakistan main corruption har sector main bohot zada hai taxes pay nahi kiye jatay .Pakistan ka GDP ratio sirf 9% hai jo dosray mulko se bohot kam hai kisi bhi average mulk ka GDP ratio 16 % hona chayah jab samhja jata hai kay han yah mulk tarrakki kar raha hai or economy achi horhi hai.
hum yah tu kehtay hain kay humaray hain taxes jama karwanay walay 2.7 million hain .un main se bhi kitnay log taxes dety hain or kitnay nahi.humaray mulk ki Abaadi takreeban 18 core hai jis main se sirf 1 lac log sale taxes pe karty hain asay main mulk kasay taraaki kar sakta hai .is per humari government ko chayah kay action lein.
Pakistan wasay kehnay ko tu ek agricultural mulk kehlata hai or humaray mulk ki economy ka ek bara hissa is per base karta hai per kiya humaray mulk main agriculture per koi taxes nahi tu economy kasay barhay gi. is kay elwa humain corruption ko rohkna hoga aur agar humaray mulk main corruption he khatam hojaye tu humara mulk Pakistan bohot tazi se tarraki kar sakay ga.humara mulk natural resources se malamal hai sindh main thar coal main coal ki itni miqdar hai kay hum chayah tu khud apnay mulk ki bijili bana sakty hain or hum os ko use karien tu 400 saal tak bina loadshedding kay bijili aasakti hai.humari economy crisis ek he taraha haal hosakty hain kay agar government apni policy ko behtar banaye or law n order ko sahi karay or awaam bhi rules ko follow karay tu Pakistan ki economy bhi tarrakki kar sakti hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment