Allah ki latadad nimaton may sy sb bari nimat zindagi hai aur is zindagi ko bharpor andaz may guzarny kay liay insan hamesha sy koshish krta aya hai. Barson sy jari ye koshish insan ko aaj kay jadid dor tak ly aai hai. Insan ny taraqqi kay kai marahil tay kiay hain lykin pechly 10 sy 15 saalon ki taraqqi ki raftar ny insan ko machine bana diya hai. Machine banany wala insan aaj khud charon taraf sy machino may ghera howa hai jis may sab sy aham computer hai. Computer insani taraqqi may ek aham sang-e-mel hai aur yehi wajah hai kay mujoda dor ka tareban har kam bazariya computer hi hota hai. Computer internet may mosalsal tabdiliyan arahi hain aur is may tezi say phelty howay social networking sites kay jaal ny duniya ko apni lapet may ly rakha hai.
Social networking sites ny ek taraf tu zindagi ko sehal bana diya hai taham dosri taraf in networking sites kay baiz bhuhat se mushkilat bhi din badin janam ly rahen hain. Agar bat fawaid ki ho tu is haqiqat ko nazar andaz nahi kia jasakta kay ye duniya ko ek dosry sy rabty may rakhny ka ek behtaren zariya hain. MSN, Yahoo aur gmail ny khatot ko e-mail may tabdil kr diya hai jab kay dost ahbab sy mulaqat kay silsily orkut, facebook sy hoty hoay twitter tak agay hain balkay saat samandar par basny waly rishtedaron ko dekhny ki khuwahish bhi skype sy chalti hoi viber tak agai hai. Students ki taleem kay liay talash library sy taraqqi kr kay google kay click tak agai hai. Entertainment may youtube bhi pesh pesh hai. Nokri ki talash ho ya gari ki, kapry kharedny hon ya ghar linkedin aur Oxl jaisi sites bhi dasteab hain. Ejadad insan ki taraqqi aur falah kay liay hi hoti hain lykin har nai ejad apny sath mushkilat bhi lati hai ya yun kaha jaye kay bejah istimal nuksan-day hota hai.
Ab agar nuksanat ki bat ki jaye tu insani zindagi online offline kay gird ghomny lagi hai aur is may tezi sy hony wali taraqqi sy insani zindagi aur soch machineni hogai hai. Ye social networking sites sirf computer tak mehdod nahi rahen balky mobile application ki surat may bhi insan ko apni giraft may liay hoay hai. Yehi wajah hai aaj kal din ki shurowat sy ly kar raat gay tak in social networking sites ka sath rehta hai. In networking sites kay users sirf nojawan nasal nahi balkay bachy sy lekar bodhy bozorg tak sb hi is kay zery-asar hain.
Aaj hum milon dor bethy logo sy tu rabty may rehty hain lykin apny as-pas mojod pyaron sy dor hoty jarahy hain. Waqt bewaqt in soocial networking sites ka istimal hummy apno sy dor kr raha hai. Din bhar ka wo waqt jo kabhi hum apno sy dukh-sukh bant kr guzarty thy ab chit chat may guzar dety hain jissy dekha jaraha hai ghar walon may waqt na hony k baiz fasly aty jarahy hain.
Status
updates, post, link aur friend request wagera kay baiz miyan bewi may bhi
ikhtilafat janam ly rahy hain balkay kuch gharano may bat talaq tak chali jati
hai.
Isky ilawa cyber crime may bhi tezi sy izafah dekhny may araha hai jisky tehad jali ID sy logo ko bewakof banana unhy dhoka dena, logo ki zatti tasawer ka ghalat istimal krny jaisy jaraim aam hogay hain. Baz owqat ye jaraim itny sangen hojaty hain kay log khud ko badnami sy bachany kay liay mout ka intikhab kr lety hain. Pakistan may internet users ki ek bari tadad hai lykin cyber crime may bhi us hi raftar sy izafa horaha hai jis may photoshop editing ka ghalat istimal aur short term kidnapping sar-e-fehrist hain, short term kidnapping may aanjan log dost ban kar kisi na kisi aanjan jagah par bola kr kidnap kr lety hain. Pakistan kay ilawa dosry mumalik bhi cyber crime may jaqray hoay hain aur mumalik may social networking sites kay zariay mazbahi neshana bhi banaya jata hai. Humary piary Nabi Muhammad(S.A.W.W) par social networking sites pr cartoon banany kay muqably sangen taren cyber crime hain jisky khelaf Pakistan ny may karwai bhi ki gai hai aur matluba sites ko band kr diya gaya hai.
Bachon kay liay jadid dor may computer ka istimal zarori hogaya hai taham choti umar may kuch ghalat chezen unky masom zehan ko mutassir krsakti hain is liay zarori hai kay walden bachon ko is mamly may apni nigrani may rakhen aur bachon ki behtar rehnomai karen.

Social networking sites kay beshumar fawaid hain aur issy mazed behtar aur mehfoz banany kay liay musalsal koshishen horahi hain lykin sath sath bhuhat sy masail bhi hain. Aaj kay dor may zarori hai kay insan apni zindagi may pyaron kay sath rehty hoay nai technology ko munasib andaz may istimal kary aur koshish ki jaye kay in sites sy offline hokar apny pyaron ki life may online hojain taky na-sirf zehni torpar pur-sukon rahen balkay apno kay kareb bhi rahen.
No comments:
Post a Comment