“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Sunday, 10 November 2013

Turkish Dramas And Double Standard Of Pakistani Media 

Pakistani mashrey may or drama industry may her koi turkey dramo ki bat kerha hai. Ye bat guzishta saal us waqt shuru hui. Jab Pakistani director Sarmad Khoosat ka drama hamsafer nasher hua or behad maqbool ho ker is ne Pakistani dramo ka ek miyar banadiya. Lekin is kay sath he urdu 1 channel ne turkey drama "Ishq-e-Mamnoo" urdu awaz may duped ker  kay dikhaya ye drama nazreen may behad maqbool hogaya. Aur is se channel ki rating may bhi izafa hua. Jis ki waja say is channel, drama or is ko dekhney walo per behad tanqeed ki gayi. Lekin ek drama jo shuru hua phir khatam bhi hogaya lekin sath he is ne kaye chehro ko bai naqab ker diya. Aur kaye haqeqaten manzirey aam per agayen

Jab ek gair mulki drama ek osat darjey kay channel say nasher hua. Aur is dramey ki waja say is channel ki rating may izafa bhi hua to sab se zada nuksan deger drama industry ko hua. In industries may barey production houses or sab se zada rating waley channels shamil hain. In channels ne adalato say ruju kia aur chaha kay in dramo per pabandi lag jaye. Lekin aisa na hosaka. In ka mauqif  ye tha kay ye dramey humari saqafat kay liyen ek sazish hai, is say humari saqafat tabah ho jayegi, nojawan bai rahrawi ka shikar ho jayenge aur gharo may fahashi aur bey hayaee aam ho jajayegi. Lekin in dramo per pabandi na lag saki aur mukhtalif channels ko apni apni fiker satane lagi. Akhir mafadat jo zad per the. In channels ne apney talk shows or morning shows may fankaro ko bula ker kaye shows kiye kay kisi terha in dramo per pabandi lag jaye. In kay khilaf kaye railiya bhi nikali gayen. Aur in ko Pakistani drama industry or mashrey kay liye khatra bhi kaha giya. Lekin iska koi faida na hosaka Aur ye dramey badastur nasher hotey rahe.



  Bus phir to is kay bad ek putli drama shuru hua in tamam channels kay hath paun phool gaye. Aur jo apne shows may fankaro ko bula ker logo ko samjha rahey the kay ye humare muashrey kay liye khatra hai aur humari saqafat ko khatam kerney ki sazish hai. Inhe channels ne turkey dramey naher kerney ka faisla kerliya. Aur aisi herkaten ki kay log bhi dang reh gaye. Isi may maqbool trareen channel ne "Noor"  kay  nam say drama kharida aur usey nasher kiya. In ka maqbool tareen akhbar bhi majud hai. Jis kay zariye inhoney Pakistan ko khushkhabri sunaye kay hum ne bhi azeem karnama anjam diya hai. Ab humarey  channel per bhi turkey dramey nasher hongey. Aisa he karnama ek aur channel ne anjam diya. Aur ishqo muhabbat ki dastan per mabani drama "Manahil aur Khalil" pesh kia lekin ye dramey itney mashur na hosakey. Lekin phir bhi in channels ne himmat na hari aur  inhone mazeed turkey dramey nasher kerna shuru kerdiye. Aur is kay sath he ek maqbool channel ne in channels ka muqabila kertey huay baqayeda ek naya channel mutarif  karaya. Aur apney akhbar kay zariye awam ko ye khushkhabri di kay ek bar phir turkey drama "Mera Sultan" aap logo kay liye hazir hai. Aur apney akhbar kay front safhey per is ki tasveer laga ker her gher may ye khaber paunchadi gaye. Aur is per bhi bas na chala to apney he magzine per in turkey adakaro ki tasveer laga ker logo ko bataya giya kay ye drama kitni maqbooliat hasil kerha hai.


Chand ek kay siwa taqreeban her channel per turkey dramey dikhaye ja rahen hain. In turkey dramo ki nazreen may behad maqbooliat ki waja is may glamour, libas, imported cars aur barey barey villas shamil hain. Lekin wo channels jo kehtey the kay turkey kay dramo kay muqabiley may humarey pas ek azeem drama industry majud hai. Aur Sohaill Ahmed, Jamil Fakhri, Qavi Khan aur Nauman Aijas jaisey logo kay qaseedey parhtey the. Ab in kay dramo ko lagau aur bachau industry aur nojawano ko bai rahrawi say lekin ye sirf kehna asan hai or is per khud amal kerna mushkil hai. Kyun kay her ek kay liyen apna mafad pehley hota hai.

Mager is say yahan ek bat to wazeh ho gaye kay dusro ko in kay faraiz yad dilana to asan hai. Sari zimmedari siyasat dano aur system per dalna watan say muhabbat ki baatien kerna asaan hai. Lekin is ka pata us waqt ahalta hai. Jab aap khud apney faraiz behter andaz may anjam dien na kay peechay hat jayien. Kyun kay aaj kay mashrey may media nojawano per buhat mauser andaz may aser andaz horaha hai. Is liye inhey chaheyien kay apni zimmedariyo ko samjhtey huay apney faraiz anjam dien. Aur mashrey kay logo  ko behtreen andaz may malumaat  kay sath agahe bhi faraham karien.    

No comments:

Post a Comment