Sunday, 17 November 2013
Increasing vulgarity In Pakistani Fashion
Ye insaan ki fitrat hai ke wo waqt ke saath saath apni zindagi me tabdeeli lata rehta hai. Kabhi khayalaat me tabdeeli, kabhi rihaish me tabdeeli to kabhi libas me tabdeeli. Shayad isi liye kha gaya hai kay “Things don’t change, we change”. yani cheezyn nahi badalti hum unhyn badaltay hyn. Tabdeeli kay sath saath insan ki fitrat me ye bhi shamil hai kay wo har su har pal khoobsurat bannay ki jistuju me bhi laga rehta hai jis kay liye wo nat naye tareeqon se khud ko sajaanay aur sanwaarnay ki koshish me bhi laga rehta hai kuonke wo chahta hai ke wo purkashish shakhsiyat ka malik ban jaye aur sab me numaya hi nazar aaye. Aaj bhi insan isi udhair bun me laga hoa hai kay wo kis tarah ka fashion ikhtiyar karay kuonkyh waqt ki tabdeeli kay saath ab fashion me bhi tabdeeli aati ja rahi hai.
Fashion ek "Art" hai jo moashray me ek naye rujhan ko farogh dynay me ehem kirdar ada karta hai. Ye na sirf hamari soch, tehzeeb o saqafat aur hamari moashrat ki akkasi bhi karta hai. Fashion ki badolat hamay pata chalta hai kay ab kia rujhan hai? kia aur kis tarah ka style chal raha hai? aur kia pehna ja raha hai. Fashion kay bagair hamari dunya be rang lagti hai lekin aaj kal to fashion ko fahashi ko farogh dynay ke liye istimal kia ja raha hai.
Pakistan me fashion ka barhta hoa rujhan aj nayi nasal ko apni nayi manzil ki taraf gamzan kar raha hai lekin us kay saath saath unhyn behoodgi aur fahashi ki bhi targheeb dy raha hai. Pakistani models ke kapray din ba din mukhtasir say mukhtasir hotay ja rahay hyn. Models chust o tang kapray pehan kar apnay jism ki namood o numaaish karti nazar aati hyn jis me un kay jism kay khado khal numaya nazar aatay hyn.
Is kay ilawa wo sleeveless aur backless shirts bhi pehni hoi nazar aati hyn jis me un kay chaak bhi kafi uper hotay hyn. Pakistani media par ab had say ziyada is tarah kay fashion shows ko dikhaya jata hai jis me hamari models fahash maghribi libas pehan kar catwalk karti dikhayi deti hyn. Hamaray channels is tarah kay behooda programs ko kuch ziyada hi dikha rahay jis say nayi nasal par bura asar par raha hai.
Pakistan fashion industry is waqt apni kamyabi ki manazil te kar rahi hai lekin Pakistani fashion me fahashi din ba din barhti ja rahi hai jis kay manfi asrat hamaray moashray par rahay hyn. Larkay aur larkiyan sab hi be sochay samjhay naye fashion ko follow kar rahay hyn aur usay kafi acha samajh rahay hyn. Waldyn bhi is cheez ko ziyada promote kar rahay hyn. Hamari han khawateen har naye fashion ko ikhtiyar karnay ki koshish karti hyn. Wo ye nahi sochti kay wo kia pehyn rahi hyn? aur is say un ko kia hasil hoga? Hamray han kamsin bachiyon, tanha larkion aur talbaat kay saath ziyadti ki khabryn tasalsul kay saath aa rahi hyn.
Pakistan me agar fashion ko Pakistani tehzeeb o tamaddun aur, saqafat aur Pakistani tarz kay libas ko farogh denay ke liye istimal karyn to is kay behtar nataij hasil ho saktay hyn lykin agar hum aisay hi maghribi tehzeeb aur libas ko farogh dytay rahay to apni tehzeeb o moashrat ko faramosh kar dyngay.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Tickers did not update
ReplyDelete