“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Wednesday, 13 November 2013

Scarcity of Employment In Our Country

 

            Rozgar ka hona ksi bhi bunyadi zarurat ko poora karnay kay liye bohat zaruri hai kuonkay is kay baghair koi bhi shakhs usay poora nahi kar sakta. Ye ek aisa masla hai jis se aaj hamyn har nojawan paryshan nazar aata hai. Ye na sirf teesri dunya ka masla hai balkyh ab maghribi mumalik bhi is ki lapyt me aa chukay hyn.


            Pakistan me is waqt berozgari ki shrah taqreeban 6.30 fisad hai jis me din ba din izafa hota ja raha hai lehaza nojawan taleem yaftah hon ya ghair taleem yaftah sab hi berozgari ki saf me kharay nazar aatay hyn. Barhti hoi berozgari ki kayi wajuhat hyn jin me ek wajah ye hai kyh yahan ghair mulki sarmaya kari na honay kay barabar hai jis ki wajah mulk me barhti hoi dyhshat gardi ki wardatyn hyn jin ki badolat mulk ka amn o amaan khatam ho chuka hai. Yhan rozana ki bunyad par bomb blasting, drone hamlay, khudkash hamlay aur agwa barye tawan ki wardatyn hoti rehti hyn naiz gair mulkiyon ko bhi qatal kiya ja chuka hai jis kay baes gair mulki sarmaya kar apna sarmaya yahan laganay ke liya razi nahi hotay. Karachi' Pakistan ki maeshat kay liye " Back bone " yani reerh ki haddi ki hasiyat rakhta hai lykin yahan ke halaat to bad say badtar ho gaye hyn. Yahan tashaddud, hartaalyn, agwa baraye tawan, bhatta khori loot maar aur qatal o garat ka bazar sargram hai lehaza mulki sarmaya karon ne bhi doosray shehron aur mulkon may apna sarmaya muntaqil karna shuru kar diya hai.


            Berozgari ki ek wajah mulk ki doobti aur larkharati maeshat hai jo gair mulki qarzon kay bal par aur note chap chap kar chalayi ja rahi hai. Pakistan mazi me kayi bar IMF say qarzay hasil kar chuka hai. Ye qarzay waqti bohran say bachnay kay liye to theek thay lykin ab is kay nataej bohat ziyada khatarnak sabit ho rahay hyn. Aaj hukumat ka poora moashi nizam mehaz qarz kay saharay hi chalaya ja raha hai. Es kay elawa Pakistan me kayi salon say sanaton ka qayam amal me nahi laya gaya aur yahan wasael bhi mehdood hyn.

            Pakistan ki barhti hoi aabadi bhi rozgar me rukawat ka sabab banti ja rahi hai chunacha aabadi kay har fard tak bunyadi sahulaton ki farahami ab mushkil ho gayi hai. Pakistan ki 65 % aabadi nojawanon par mushtamil hai jis me say nojawanon ki aksariyat berozgar hai. Shehron me berozgari ki shrah dyhi elaqon ki nisbat ziyada hai jis ki wajah ye hai ke chotay chotay qasbon, zilon aur gaon goth se logo ki aksariyat sirf rozgar ke husool ki gharz se baray baray tijarti shehron ki taraf ziyada rukh ikhtiyar karti hai aur phir wahan mukammal sukunat ikhtiyar karnay ki koshish bhi karti hai kuonkyh wahan un ke pas rozgar kay behtar mawaqay mojood nahi hotay hyn.

            Hamaray mulk me sarkari idaray is qabil nahi hyn ke woh rozgar faraham karyn kuonkyh un kay pas mojooda afradi quwwat ke liye bhi tankhuwah ka intizam karna mushkil ho gaya hai lehaza rozgar ki farahmi kay imkanat bhi ab kam ho gaye hyn. Es kay elawa berozgari ki ek aur wajah jadeed machines aur softwares ka istimal bhi hai lehaza sanaton me insan ki afradi quwwat par inhisar bhi ab kam ho gaya hai. Mulazmat ki farahmi ke silsilay me hamaray han merit ka koi khayal nahi rakha jata aur baaz jagahon par bhari rishwat bhi li jati hai jis ki wajah say idaray mazboot nahi balkay kamzor hotay ja rahay hyn. Ek wajah ye hai kay educational institute career conseling nahi ki jati chunacha nojawan career kay intikhab me ghalati kar dytay hyn aur jis ka idrak unhyn bad me hota hai. Agar nojawano ko nokri mil bhi jati hai to sahulatyn na honay kay barabar hoti hyn.

 

            Pakistan me berozgari ki sharah me musalsal izafa hota ja raha hai jis ke manfi asraat hamaray moashray per par rahay hyn. Rozgar na honay ki wajah se nojawan ahista ahista juraim ki dunya me chalay jatay hyn. Ya phir mayoos ho kar khudkushi karnay par majboor ho jatay hyn.


            Bohat say log berozgari ke sabab apnay pooray khandan kay saath khudkushi kar letay hyn kuonkyh wo apnay maali masael ko hal nahi kar patay aur un kay pas is kay siwa aur koi chara nahi hota. Aaj kal to berozgar nojawano ko log apnay ghalat maqasad ke liye bhi istimal kar rahay hyn wo jo chahtay hyn un say karwa laytay hyn. Bohat say logon ne apnay bachon ko bhi bychna shuru kar diya hai. Kuch log to apnay gurday tak bechnay par majboor ho gaye hyn. Khawateen ke saath to is se bhi bura hot hai wo razgar na honay ki wajah say jism faroshi ki taraf raghib ho jati hyn ya bheek mangti nazar aati hyn.

            In halaat ke pysh e nazar berozgari ko roknay aur es par qabu panay kay liye mulk me siyasi bohran aur rishwat ko khatam kiya jaye, maeshat ko mustahkum bnaya jaye aur aabadi par qabu paya jaye. Es kay elawa jadeed taleem ko nafiz kiya jaye mulk me aman qayem karnay kay liye aslah par pabandi lagayi jaye aur merit ki bunyad par logon ko jobs di jaye aur sanaton me tarbiyati marakaz qaem kiye jayen aur aisay program tarteeb diye jayen jo tasalsul kay saath qaem rahyn takyh berozgari par ksi had tak control kiya ja sakay.

No comments:

Post a Comment