“Build your own dreams, or someone else will hire you to build theirs.”

Sunday, 10 November 2013


Social Websites ke ghalat estimaal ki rok thaam waqt ki ehem zarurat hai....

 


            Mojuda daur me "Inter Connect Network" jise ab hum "Internet" kehtay hyn' moasharti zindagi ki zarurat ban gaya hai. Es ke baghair hamari zindagi maflooj ho kar reh gayi hai. Ek daur aisa bhi tha jab taza tareen khabron se baakhabar rehnay ka zariya sirf "Media" hi tha lekin gazishta kuch arsay me "Social Media" ne jis tarah kamyabi hasil ki aur jis andaz me apni jagah banayi hai us se inkar ab mumkin nhi.

"Social Network" among the people.
         
           Hum jantay hyn ke fard aur moashray ka aapas me gehra taalluq hai lekin aaj hamay yhi taalluq social media ki badolat aur gehra hota nazar aa raha hai. Social media ya " Social Networking Websites" darasal samaaji / moasharti rabtay ke us jaal  ko kha jata hai jis me aj hum buri tarah ulajh kar reh gaye hyn. Ye insani rabton ki wo ranga rang dunya hai jis ki chaka chond me hum kho say gaye hyn. Jis ke wojood me aanay se na sirf rabton ke naye silsilay balkay sargarmiyon' tafreeh aur malumat ke naye silsilay bhi wajood me aa gaye hyn. Es ka asar o nufooz sal ba sal barhta ja raha hai kuonke logon ki kaseer tadad in websites ko estimal kar rahi hai. Dunya bhar me " Facebook, Google+, Tumblr aur Twitter " sab se ziyada estimal honay wali websites me shamil hyn. Jin me "Facebook" ke users 1,000,000,000 aur visitors 792,999,000 hyn jabkay "Twitter" ke users  500,000,000 aur visitors 167,903,000 hyn. "LinkedIn" ke users 200,000,000 aur visitors 94,823,000 hyn jabkay "Google+" ke users  500,000,000 aur visitors 66,756,000 hyn. Es ke elawa "MySpace" ke visitors 61,037,000 aur deegar websites ke visitors ki tadad taqreeban 255,539,000 ho chuki hai.



            Social websites kuonke jadeed taaleem o tafreeh aur malumat ka zariya hayn jin se lakhon log mustafeed ho rahay hyn aur hazaron log enhay misbat maqasad ke liye estimal kar rahay hyn. Kuch log apnay piyaron aur rishtedaron se in websites ki wajah se baa aasani baat cheet kar letay hyn to kuch aisay bhi hyn jo moasharti rabtay to qaem kar letay hyn lekin un ka apnay hi qareebi rishton yani ghar waalon se rabt rakh pana mushkil ho jata hai. Wo apnay ghar waalon se ziyada an dekhay anjaanay logo se apni baatyn share kar letay hyn aur un par andha atamad bhi kar letay hyn. Kuch to aisay bhi hyn jo websites ko manfi maqasad ke liye bhi estimal kartay hyn. 


            Es ki sab se bari wajah check and balance ka na hona hai. Jis ki wajah se in websites par jali accounts ki bhar maar lagi pari hai. Nojawan doosron ke email account hack kartay hyn naiz in websites par bohat sa laghu aur fahash mawad bhi muntaqil kartay hyn. 



            Hamaray nojawan larke aur larkiya apni tasaveer aur status minute minute me up date kartay rehtay hyn aur har waqt doston se chatting kar ke apna qeemti waqt zaya kartay rehtay hyn. Es ke elawa chote chote bachon ne bhi apne accounts in websites par bana rakhay hyn lehaza bachon par bhi es ka ghalat asar par raha hai. Waldain ko chahiye ke wo apnay bachon ko security ke baray me batayen aur un par nazar bhi rakhyn ke wo kia dykh rahay hyn or kis se chat kar rahay hyn.
       

            Social media ne na sirf hamari tehzeeb aur moashrat balkyh hamari zaban ko bhi tabah kar diya hai. Hamaray nojawan mukhtasir alfaz me baat karne ko apna kamal samajhtay hyn. Hamay chahiye ke hum in websites ka sahi use karyn. Aalaa hukkam ko bhi chahiya ke in ke ghalat estimal ko roknay ke liye behtar se behtar iqdamaat karyn kuonke nojawan hamaray mulk ke mustaqbil ke mamaar hyn aur yhi nojawan agar fuzul kamon me apna waqt barbad krengay to mulk ke behtar mustaqbil ki ummidyn kis se wabasta ki jayen gi ? Pas in websites ke ghalat estimaal ki rok thaam waqt ki eham zarurat hai...... 

No comments:

Post a Comment