Taleem ek asi kuwwat hai jo kisi bhi mulk or qoam ko tarakki ki rah per lay ja sakti hay.aur maasharay main manfi tabdeeliya la sakti hai.Aala taleem e yafta qoam zindagi kay har maidan main kamyab rehti hai.laikin badkismati se pakistan un tarakki pazir mumalik main shamil hai.jin ko beshumar masayl ka samna hai jis main se sub se ahem taleem ka masla hai .Pakistan main taleem e nizam ko ba asani behtar banaya ja sakta hai,agar in ahem baton per ghor kiya jaye tu .
Schools main ek he medium per parhaya jaye yah nahi kay government,private sub main alag hai jis ki waja se humara taleemi nizam barbaad horaha hai primary school se he english medium kiya jaye.Government teachers kay liy zaroori hai k woh aala taleem e yafta hon or un ki munasib tarbiyat ki jaye.or unki zarooriyat or sehlaiyat kay mutabik tankhuwa di jaye. yeh sub cheezein is liy bhi zaroori hain kay private schools ki fees har admi bardasht nahi kar sakta is liya woh apnay bachon ko government school main parhanay per tarjee daitay hain .
Computer k mutallay ko lazmi banaya jaye primary level se he .Taakay bacho main shuro se he computer ko istemal karna or apni taleemi zaroorat kay liya madad gar sabit hon .Aur uss kay sath government schools main computer labs honi chayehi taakay jo bachay ghar per computer khareed nay ki istetaahat nahi ,taakay woh bhi achay se computer ki maloomat hasil kar sakein.
Pakistani government ko chaheyai kay woh taleem kay funds lo barhaya jaye takay is k nizam ko bethar banaye jaa sakay or is ki policy ko change kiya jaye,taakay kay ajj ka talib-e- ilm kal ka acha engineer,doctor,or leader ban kay samnay aye is kay liy is ko sahulatein muyassar ki jaa sakein aur woh ek acha insaan ban kay mulk o qoam ki khidmat karay or mulk ko tarakki ki taraf le jaye.
No comments:
Post a Comment