Pakistan film industry apnay qayam say le kar ab tak kai nasheeb o faraz say guzri hai. 1947 may film industry ka markaz sirf Lahore hi tha jahan sirf 2 hi film studios mojood thay lekin bad may Karachi aur Dhaka may san saath aur sattar ki dihai me film studios qaem kiye gaye. Pakistan film industry nay apna wo daur bhi dekha hai jo is ka sunehri daur kehlata tha jis me mayari aur kamyab filmyn banai jati thi. Log baray zauq o shoq say filmyn dyknay jaaya kartay thy. Us waqt Pakistan me kafi cinema houses bhi hotay thy lekin phir aisa daur bhi aaya kay jis me filmon ka mayar girnay kay sath sath in ki tadad me bhi kami waqy ho gai. Is kay bad filmi sanat ko zawal aana shru ho gaya. Aamrana daur me bhi filmi sanat ko bohat ziyada nuqsan pohancha aur phir munafa na kamnay ki wajah say cinema houses ki tadad bhi batadreej kam hoti chali gayi. Is kay baad cinema houses ki kamai sirf paros mulk ki filmon aur gair qanuni fahash filmon say honay lagi lekin ab Pakistan film industry apni khoi hoi saakh dobara bahal kar rahi hai kuonkyh ab Pakistan me bhi mayari filmyn banna shru ho gai hun aur unhyn kafi pasand bhi kiya ja raha hai. jis ki taza misal 16 October 2013 ko release ki janay wali film "Waar" hai jis nay apnay pehlay hi din 11.4 million ( US $ 110,000 ) kamaye hyn.
Film "Waar" ka budget 200 million ( US $1.9 million) hai.Ye film angrezi zaban me banayi gai. Film kay numaya kirdar Shaan Shahid, Meesha Shafi, Ali Azmat, Shamoon Abbasi aur Ayesha Khan hyn. Film waar nay kafi zabardast business kia hai. Is film ki kamyabi say sabit hota hai kay hamary mulk me bhi talent ki kami nahi hai aur hamari filmyn bhi parosi mulk ki filmon say takkar le sakti hyn. Film "Me hoon Shahid Afridi" nay bhi kafi acha business kia hai. Is say qabl bhi " Khuda ke liye aur Bol jysi kamyab filmyn bhi banai ja chuki hyn. In filmon say say pata chalta hai kay film industry me ab kuch tabdeeli aa rahi hai aur hamari nayi nasal film production me acha kam kar rahi hai.
No comments:
Post a Comment